![]() |
| ||||||
| Islam Full of Islamic Stuff |
![]() |
| | Thread Tools | Rating: | Display Modes |
| |
| | #1 |
|
Ek baaat ap batayen k quran me Allah ne farmaya k jadugar kabhi apnay maqsad me kamyab nahi ho sakta lekin yeh kahan farmaya hay k us k jadu me asar nahi hay ? koi aisi wazaih ayat ho to batayen. Let suppose agar jadugar kisi per us k mar janay k liye jadu kerta hay lekin woh shuks sakht beemar ho ker theek ho jata hay to yeh howa na k woh jadugar apnay maqsad me kamiyab nahi howa lekin Allah k hukum se woh beemar howa yani us shuks per us jadu ka asar to howa na ? App agar koi bat samjhana chahti hain or samajhti hain k ap huq per hain to app ko chahiye ke ayat ko quote kerne k sath sath us ki detail shan-e-nuzool or jo us ayat se related sahi ahadees hain wo paish kerain, quran me to Allah ne yeh bhi farmaya k Namaz Qaim kero lekin qaim kesay kerni hay yeh sahi ahadees batati hain na k quran me kahin bhi namaz qaim kerne ka tareeka hay 2nd soorah baqra me jo Allah ne farmaya hay ke woh is jadu wagaira se kisi ka kuch nuqsan nahi ker saktay siwa is k k Allah hi nuqsan ka hukum de, yeh ayat to app bilkul hi jhutla rahi hain.. Ap ne jo Soorah Nisah ki ayat quote ki hay "Kiya nahi dekha tum ne un logon ko jin ko diya gaya hay kuch hisa kitab-e-Ilahi me se k eeman rakhtay hain woh jadu tonay or shaitanee quwaton per" is se kahan wazaih ho raha hay ke jadu me asar nahi hai yeh ayat to yeh bata rahi hay ke in per eeman na rakho k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se. Last edited by Raheel; 29-10-2009 at 10:11 AM. | |
| | #2 | |||||
| Quote:
Quote:
Aur nechay wali surah Younis . main Allah nay yeh kaha hay kay agar Allh ka mojaza jado hota tu wo bhi kamiyab nahi hota.. Agar jado main asar hay tu jadogar apnay jado karnay main kamiyab kaisay nahi ho sakta? Quote:
Aur Allah ne jis trah say hukum ki baat hay wo pechay 2 dafa likhi gai hay kay Allah ka hukum kis trah ho sakta hay... yahan yeh nahi likha huya kay Allah jadogar main asar dalnay ka hukum dayga, jabkay yeh zaror likha hay kay jado kisi ko koi faida nahi deta .balklay jado karnay walon ko nuqsaan hoga... Aur agar is trah ki baat maan lo kay Allah khud hei jadogar kay jado main asar dalnay ya na dalnay ka hukum day deta tu Allah apni hei kahi gai baat ka Ekhtelaaf kar raha hay kay .. udhar Allah keh raha hay kay jadogar kamiyab hei nahi ho sakta . aur udhar Allah beiman jadogar ko jis ko Allah nay kaha hay wo kamiyab hei nahi ho sakta, us ko jado say koi faida hei nahi hoga balkay nuqsaan hota hay,Phir Allah us ki khud hei madad karay ga.. wah ray. Quote:
Anyway now you beileve kay jadogar ko Allah nay itni taqat day di hay kay wo logon ko bemaar kar sakta hay(jadogar kay jado main asar hota hay)... Tooba Astaghfiruallah. jabkay Allah nay quran majeed main farmya hay kay main momin ka saath deta hon... aur udhar Allah us ka saath day raha hay jis ko Allah khud bura bhala keh raha hay. Quote:
surah nisa ki ayat main jado par iman lanay say kia muraad hay? zahir hay yehi muraad hay kay kay jaado main asar maan lena. aur konsa jado par imaan lana ka meaning ho sakata hay? Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. isliay bhi yeh baat hargiz nahi man ni chahay ... Raheel aur Usman bhai ... ---------- Post added at 03:02 PM ---------- Previous post was at 02:43 PM ---------- Anyway Abh maan li aap ki baat... aur aap kay mutabiq wo sab batain maan lain ki jadogar kay tonay totkay main asar hay.(aur yeh asar Allah deta hay. because Allah nay jadogar ko sab say bara dhokay baaz aur beiman kaha hay)... aur wo ahadees bhi maan li jin ka aap nay abhi tak zikar hei nahi ki... abh aap wo 4 batain quran aur hadees sahi kay roshani main saabit kar kay dikhao...
Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain. | ||||||
| | #3 | ||||||||
| Quote:
Quote:
Kamiyab aisay nahi ho sakta k Allah ne usay nakamiyab kernay ka kaha hay is liye woh kesay kamiyab ho ? Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Last edited by Raheel; 29-10-2009 at 04:01 PM. | |||||||||
| | #4 | ||||||||||
| Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
Quote:
![]() aur yeh behis 5 pages tak pohunch gai hay. aap dono nay abhi tak koi bhi aisi hasdees paish nahi ki. jo kay Allah kay quran ki nafi karnay ko tiyar ho...aur kehtay mujhay ho kay shane nazol . shane nazol. Quote:
![]() ![]() ![]() Oper tu likh dia kay Wama,. means Aur Nahi... But Usi ayat kay anadr aglay line main likh dia kay, Wama means Pechay lag gay us ilam kay... Yahan par kiyon nahi kaha kay.. Nahi nazil kia giya farishton par? (jabakay peechay itna bhi likh diya hay kay frishton nay kufar nahi kia...aur agar jado Allah nay frishton kay zariay (jadoo, kufar) nazil kia hay tu phir Allah nay Saleman A.S par bhi jadoo (kufar) utara tha .because frishtay Nabiyon kay paas atay hain. airon gheeron kay pass nahi.) aur phir nechay ja kar dobar yehi keh diya ... Wama means nahi ... Qissa Haroot Maroot Aur Jadoo Ki Haqeqat Surah Albaqrah ayat 102(Islamic Book) What is Magic ? Urdu... is ayat kay baray main mazeed tafseer aur Tashreeh is book main darj hay. ![]() Quote:
![]() Surah bakra main yeh nahi likha kay jadogar kay jado main asar dalnay ka hukum hay.. Allah kay hukum wali example aap nay khud hei di hay... Quote:
yeh nahi hay kay us jadoogar nay jo mantar waghera parhay hain un say yeh bemaar hoga aur us shakhs par jadogar kay jadoo ka asar ho giya hay...aur waisay bhi jadogar yeh kab manta hay kay yeh sab Allah nay kia hay. phir bhi aapko us kay ki ay daray par emaan hay kay us kay kiye daray main Allah asar dal deta hay. Quote:
![]() Quote:
| |||||||||||
![]() |
| Tags |
| asar, chand, effect, follower, jado, jadoo, jadoogar, kay, main, pak, qaeleen, question, quran, sawalat, urdu, zikar |
| |