BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Closed Thread
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.67 average. Display Modes
Old 29-10-2009, 09:37 PM   #51
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Aeyaat ko kat kat k perny ki bajye puri aeyat koi bhi perhy ga tu wsko saf saf pata chal jye ga k haqeeqat kya ha



"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or
Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi
or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"





---------- Post added at 09:04 PM ---------- Previous post was at 08:58 PM ----------

koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha

Allah or booton/Peeron etc mein bhi faraq ha na in ki characteristics mein bohat faraq ha

laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
yan yeh keh unko sheetan dy raha ha..........

---------- Post added at 09:19 PM ---------- Previous post was at 09:04 PM ----------

jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha

laqin jado ghar kamyab nahi hoga matlab k wo nahi hoga kamyab kabhi nahi hoga

agar wo kamyab ho jaye tu wska jado Allah k hukam k baghaire bhi asar kr jye matlab yeh ha jab keh wo jado kerta ha tu Allah ws k jado k zaryeh logon k azmesh k liye jado k waqti tore pr kisi k nuqsan kr sakta ha or Allah ws k jado k asar ko zayal bhi kr deta ha apny bandon ko batany k liye k wo jhoota ha or mein he sacha hn


agar wo jado kerta or wska koi asar he nahi hota (Allah k hukam sy) tu kamyabi or nakami ka swal he paida nahi hota

Allah k quran ki koi bhi aeyat quran ki kisi aeyat sy nahi takrati magar apki soch


Or yeh sb ahadees sahi hain reference ap mujh sy zada achi terhan janty ho mein sirf ishra dy raha hn

Allah k nabi pr jado wali(sahi bukhari)
Allah k nabi ny sheetan k namaz k doran pakra(Sahi bukhari or sahi muslim)
Allah k nabi ny farmaya sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha(Sahi bukhari and sahi muslim)
etc...


or in mein sy ek bhi hadees quran sy nahi takrati na he Allah k koi bhi aeyat quran sy takrati ha magr apki interpretation

---------- Post added at 09:37 PM ---------- Previous post was at 09:19 PM ----------

Quote:

Allah nay zameen par us hasti ko ; Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.
Allah kisi ki azmaesh k liye kuch bhi kr sakta ha jado k zarywh kisi ka nuqsan bhi ker sakta ha
Quote:
Hazart Mohammad SAW Jado zada shakhsiyat they,aur un par yahoodiyon nay jado kar diya tha (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)
Allah k nabi jado zada shakseeyat nahi thy un pr jado hwa tha(allah k hukam sy) waqti tore pr or khatm ho gaya tha or jado ghar nakam ho gaya tha

zara ghore sy perho or tafseel bhi perho or shane nazool bhi perho k kahan or kis likha ha k mushreeqeen makkah Allah k nabi ko
kya mushreeqeen ny yeh ws waqt kehna shuru kiya tha jab ap pr jado hwa tha yan iss wajha sy k jabkeh sb log apko sadiq or ameen janty thy tu achanak apny Allah k wadaneeyat or apni reesalat ka elan kr diya tu unhon ny yeh kehna shuru kiya k ap pr kisi ny jado kr diya ha
or iss bat sy bhi yeh wazeh ho raha ha k jado ka asar aesa bhi ho sakta k wo kisi ko pagal bana sakta ha kyoun k agar jado sirf dhokha hota tu wo mushreqeen ap(S.A.W) ko kabhi Allah ki wadaneeyat or apni reesalat ka hukam deny pr yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha)
Quote:
Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar aur jado ki taleem di... (Jado kufar hey , aur frishton ka jado sikhana bhi kufar hay. means frishton nay bhi kufar kia)
"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero"

han nahi kiya koofar
Quote:
Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay.... (jabkay, Bhagwan, tawez, etc waghera waghera ko yeh taqat nahi di)
Alredy mentioned k taqat nahi di ha wo kuch bhi nahi kr sakta , wo kuch bhi nahi kr sakta, wo kuch bhi nahi kr sakta
magar allah chahy tu kisi k azmesh k liye jesy peeron sy kisi ko iman rakhny pr aataa kerta ha issi terhan kisi ka nuqsan kr sakta ha


Last edited by usman_latif_ch; 29-10-2009 at 11:00 PM.
 
Old 29-10-2009, 10:44 PM   #52
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Allah k quran ki koi bhi aeyat quran ki kisi aeyat sy nahi takrati magar apki soch

tu phir aap phir jado par emaan lanay walay loog kyon takra rahay hain. main nay pechay ayat qoute ki hain. kia wo nahi takra rahi............

udhar Allah yeh keh raha hay ayat main kay jadogar ka jado shoobda hay,jadogar ka fareeb hay. aur jadogar kay jado say koi faida ho bhi nahi sakta . aur udhar Allah yeh kaisay keh sakta hay kay jadogar kay jado main asar hota hay?

tu yeh sabit ho giya na kay jadogar kay jado say kuch nahi hota , Jo Allah chahay karta hay, Agar wo mafooqul asbab ho raha ho tu wo mojza hota hay. aur agar wo matehtul asbab ho raha ho wo tu normal baat hay.

Quote:
Aeyaat ko kat kat k perny ki bajye puri aeyat koi bhi perhy ga tu wsko saf saf pata chal jye ga k haqeeqat kya ha
Ayat aap khud tu pori parho na...waisay is ayat ki sahi tashreeh us book main hay, jo main nay books walay section main post ki hay... agar nahi manna parhna tu na mano...

.
Quote:
"Bayshak insaan jinaat ki panah talab kia kartay thay...javaban unho (jinaat) nay unki takaleef mein izafa kardiya..." (Al-jin...2)


yeh ayat 2 nahi balkay 6 hay..dosari baat . aap nay translation kaisi kar di hay...
is ki asal translation nechay parh lo.
Is main jino ka gharoor is li ay bhar giya kay . Jin (kafir jino) ka gharor aur barh giya kay . jin kehnay lagay kay hamari taqat say tu yeh Jahil insan bhi khoof khatay hain....
aur agay 7th ayat surah jin ki parh lain tu, aapko yeh bhi samjh aa jayegi kay yeh koon loog thay jo jino ki panah mangtay thay, yeh wo loog thay jo kehtay thay kay marnay kay baad unka hisab kitab nahi hoga...

aur agar aap bhi kehtay ho kay marnay kay baad aap ka hisab kitab nahi hoga tu aap bhi jino ki panah manga karain... jaisay kay is ayat 6 aur 7 main bataya giya hay




Quote:
koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha
tu yeh baat main nay 3 dafa pechay batai hay kay Allah kaisay chahay ga...

Quote:
Allah or booton/Peeron etc mein bhi faraq ha na in ki characteristics mein bohat faraq ha

laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
yan yeh keh unko sheetan dy raha ha..........
is baat ka jawab bhi main nay pechay diya hay kay. jab peeron aur button ka ikhteyar ko tasawaer nahi kar rahay tu jadogar (hum jaisa bebas insan) kay kia ay dara ko taswur kiyon kar rahay ho......

Quote:
jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha
tu yeh kiyon nahi man lete kay yeh kaam Allah ki traf say huya hay. yeh kiyon maan rahay ho kay jado ki waja say huya hay aur jado ka asar ho giya hay......

Quote:
laqin jado ghar kamyab nahi hoga matlab k wo nahi hoga kamyab kabhi nahi hoga
You believe kay jadogar ghar baithay kisi ko physically effect kar sakta hay tu wo kamiyab kiyon nahi huya......

Quote:
Allah k nabi pr jado wali(sahi bukhari)
Waisay yeh hadees quote karna zara. Is say hadees ko man lene say tu App SAW ki jo shaan quran paak main hay wo wrong maloom hoti hay. qoute karna hadees, i will explain kay kaisay ghalat sabit hoti hay.abhi nechay bhi daikh lo, ayat qoute ki hay.

Quote:
Allah k nabi jado zada shakseeyat nahi thy un pr jado hwa tha(allah k hukam sy) waqti tore pr or khatm ho gaya tha or jado ghar nakam ho gaya tha
Jab Allah kay nabi par jado ho giya tu , yeh sabit ho giya kay Muhammad kareem SAW . naozbillah Sahir zada ho gay thay... Asaghfirullah. Jab kay Allah nay quran majeed main farmya kay...jadogar kamiyab hei nahi ho sakta tu Allah nay azamaish kay li ay apni kaafi saari ayat main khud say ekhtelaaf kar diya...
Jaisay is ayat # 8 ka... Muhammad SAW pori life main 1 lamha bhi sehar zada nahi ho ay... samjhay..




Abh aap bhi is hadees kay mutabiq yeh keh rahay ho kay Nabi kareem SAW par bhi jado ho giya tha... aur hum sehar zada shakhs ki Perwi kartay hain.... Astaghfirullah... naozbillah...

Quote:
Originally Posted by usman
Sheetan Khoon ki trah door sakta hay, LOL..
. Tu Allah bhi tu insan ki sheh rag say ziyda kareeb hay. so it means Allah tala bazat e khud insan ki sheh rag kay andar hotay hain? No never. It means kay Allah insan kay itna qreeb hay kay insan ka har kaam daikh raaha hay

Yahan door skta hay say murad kay insan kay itna qareeb hay kay foran behka, warghala sakta hay.. Jaisa kay Adam A.S ko bheka diya tha..It does not means ke Jini Sheetan Khud insan kay khoon kay anadar aa kar baith jata hay, aur insan say achay buray kaam karwata hay...


Quote:
Allah k nabi ny sheetan k namaz k doran pakra(Sahi bukhari or sahi muslim)
yeh hadees itni chhoti kaisay ho sakti hay. sirf itna kuch . kay namaz main akar pakra. It means kay namaz main aa kar waswasa dala, warghlaya... It does not mean kay Sheetan Nay aakar aap SAW ka Haath pakar lia,
aur aap SAW par apna zooor jamanay ki koshish ki,

Balkay Nabi SAW ka tu yehi iman tha , jaisa kay quran paak main likha hay...
kay sheetan kahay ga kay mera tum logon par koi zoor nahi tha (Jis main Muhammad SAW bhi shamil hain) Main tum ko dawat deta tha aur tum labaik kehtay thay,

Is Ayat say Aap ka Sheetan ki baaqi sab taqaton ka mafrooza hei khatam ho jata hay... because sheetan ka insan per koi zoor hei nahi hay. wo bas waswasa daal sakta hay . nothing else...

Name:  Ibraheem 22 , sheetan power on human being.GIF
Views: 9883
Size:  17.8 KB

Please ahadees kay Number. page number wagheera tu bata dain... takay main search kar kay in kay baray main malomat lay sakon... kay yeh aisay kiyon likhi gai hain.



Quote:
in mein sy ek bhi hadees quran sy nahi takrati na he Allah k koi bhi aeyat quran sy takrati ha magr apki interpretation
Ap SAW par jado wali hadees takra tu rahi hay...


Quote:
Allah kisi ki azmaesh k liye kuch bhi kr sakta ha jado k zarywh kisi ka nuqsan bhi ker sakta ha
Phir wohi baat duhra rahay ho kay jado kay zariay hota hay. Allah jado kay zariay karwata hay... Allah jado kay zariay hargiz nahi karwata. Allah nay khud karna hota hay tu karta hay. warna jadogar ki itni majaal nahi kay wo Allah ko apna kamiyab karnway kay li ay majboor kar di..

Theek hay agar maan lain kay jadogar kay zariye Allah karwata hay. tu yeh baat sach ho gai na kay Aap ko bhi jado par eman hay...

read surah nisa. Ayat pechay quote ki hain...


Quote:
iss bat sy bhi yeh wazeh ho raha ha k jado ka asar aesa bhi ho sakta k wo kisi ko pagal bana sakta ha kyoun k agar jado sirf dhokha hota tu wo mushreqeen ap(S.A.W) ko kabhi Allah ki wadaneeyat or apni reesalat ka hukam deny pr yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha)
So Allah nay yeh ayat aisay hei likh dain kay jadogar ka jado Dhoka hay. aur Jadogar ka jado koi faida nahi deta. aur jadogar ka jadi shobada (sirf trcik jaisay Magician kartay hain) hay...

Quote:
yeh na kehty k ap pr jado ka asar ho gaya ha (kyoun k agar jodo kuch nahi hota wo bhi janty hoty k yeh tu sirf dhokha hota ha)
Kia baat ki hay Mushrakeen aur Aaj kay muslamaano ko barabar kar diya hay...




Un kay jado means un kay trick say wo door rahi thein... yeh nahi kay un kay jadoo main asar ho g iya tha aur jadogaron nay asali saanp bana li ay thay...

Name:  taha 69.gif
Views: 17178
Size:  25.7 KB

Quote:
Alredy mentioned k taqat nahi di ha wo kuch bhi nahi kr sakta , wo kuch bhi nahi kr sakta, wo kuch bhi nahi kr sakta

magar allah chahy tu kisi k azmesh k liye jesy peeron sy kisi ko iman rakhny pr aataa kerta ha issi terhan kisi ka nuqsan kr sakta ha
Jab peeron say mangnay par Allah aatta karta hay aur Peer atta nahi kartay.
Tu yeh main mat maano na ho kay jadogar kay jado kay asar say insaan pagal ho jata hay

jab itna maan letay ho kay sab Allah karta hay . tu yeh manana kiyon mushkil hay kay Allah nay jadogar ko kisi ko pagal karnay ki taqat nahi di??


Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat... phir kehti hay kay hum tu muslim ummat hay. humaray opper zalzalay kiyon aatay hain. humary opper khud kush hamlay kiyon hotay hain...

But yeh baat sach hay kay (jaisa ka pichhli aqmam say sabit hay) Allah kisi na kisi trah apni munkir qoom per hei azaab bhaijta hay. aur kehta hay kay mere azab ka maza chakhoo...
 
Old 29-10-2009, 10:53 PM   #53
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
You believe kay jadogar ghar baithay kisi ko physically effect kar sakta hay tu wo kamiyab kiyon nahi huya......

jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha


agar wo kamyab ho jaye tu wska jado Allah k hukam k baghaire bhi asar kr jye matlab yeh ha jab keh wo jado kerta ha tu Allah ws k jado(dhokhay) k zaryeh logon k azmesh k liye jado k waqti tore pr kisi k nuqsan kr sakta ha or Allah ws k jado k asar ko zayal bhi kr deta ha apny bandon ko batany k liye k wo jhoota ha or mein he sacha hn

matlab yeh k jo hota ha Allah ki taraf sy hota ha ws k jado mein asar nahi allah logon k azmesh k liye aesa krta ha




 
Old 30-10-2009, 12:39 AM   #54
.BZU.
Islamic Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
jado ghar k jado mein asar nahi ha magar Allah chahy tu kisi ki azmaesh k liye jesy booton k pooja kerny walon ko booton sy ata kerta ha aesy he jado mein beshak asar nahi ha magr agr koi jado kerwata ha tu Allah wski azmeash k liye Allah kisi ka nuqsan ker sakta ha
Jaisay Button ki poja karnay say bhi Allah deta hay.(button ki poja krnay say koi faida nahi milta). aur Jadogar kay jado say bhi jo kuch ho ja ay tu wo bhi Allah ki taraf say hota hay (jadogar kay mantar janater say kuch asar/farq nahi hota)...

tu Agar hum man lain kay jadogar kay jado main asar ho giya hay tu. yeh bhi baat manana farz ho jati hay kay Button ki poja karnay main bhi asar ho jata hay... tu button ki poja krnay main aur jadogar kay jado main asar main kia farq ho giya. Dono Allah ka shareek ho gay ... ----.. aur banao Allah kay shareek

So please take care of this dear...

Quote:
matlab yeh k jo hota ha Allah ki taraf sy hota ha ws k jado mein asar nahi allah logon k azmesh k liye aesa krta ha
jo bhi karta hay Allah karta hay. Jaisay button ki poja say Bout kuch nahi kar saktay aisi trah Jadogar (aik bebas kafir shakhas) kuchh bhi nahi kar sakta,na hei kisi ko bemaar kar sakta hay, aur na hei kisi ko takleef day saktaha hay. na hei miyan biwi main judai daal sakta hay (Jaisa ka albaqra 102 main hay kay jadomanter say wo kuch nahi kar saktay thay). na hei jadogar kisi ko pagal kar sakta hay.na hei jadogar lakri ko saanp bana sakta hay(Jaisa kay Altaha 69 main hay kay, firoon kay jadogaron ka fareeb tha. aur us dhokay ki waja say lakriyan goya door rahi thein)...


Aur Allah loogon ko azmaish main dalnay kay li ay karta hay . but loog azmaish samjhnay ki baja ay us par emaan lay aatay hain kay . is jado main asar ho giya hay. Button ki poja karnay say butt naoazbillah dena shuru kar detay hain.. etc...

Please believe on Allah...


---------- Post added at 01:39 AM ---------- Previous post was at 12:48 AM ----------

Quote:
jab keh wo jado kerta ha tu Allah ws k jado(dhokhay) k zaryeh logon k azmesh k liye jado k waqti tore pr kisi k nuqsan kr sakta ha or Allah ws k jado k asar ko zayal bhi kr deta ha apny bandon ko batany k liye k wo jhoota ha or mein he sacha hn
Oper yeh man letay ho kay kay jado main asar nahi hota, jo karta hay Allah karta hay..

phir idhar dobara yehi kehnay say kia murad hay kay jado kay zariay sab kuch hota hay...
phir wohi baat kardi kay jado kay zariya asar hogiyaa...

Beshak Allah kisi ka muhtaaj nahi. na kisi insan ka, na kisi peer ka, na kisi jadogar kay manter ka, na kisi Bout ka...
Allah ka hukum ho jo kuch marzi ho ja ay. jadogar ka koi mantar bhi nahi Allah ko force nahi kar sakta.

Ufff...yeh doghala policy kiyon?........ had hoti hay bhai...



Firoon kay jadogaron nay tu maan lia tha kay jado main koi asar nahi hay.un ka apna kia giya jado sirf dhoka fareeb tha, isliay wo tu sajday main gir paray thay. But afsoos, Ajj ki ummat... phir kehti hay kay hum tu muslim ummat hay. humaray opper zalzalay kiyon aatay hain. humary opper khud kush hamlay kiyon hotay hain...
 
Old 30-10-2009, 02:20 AM   #55
Muzammil
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Aap logon ne 6 pages bhar diye aur baat wahin ki wahin hai.. me yeh thread rozana dekhta hoon but samajh nahi paa raha ki ho kya raha hai.. now its time to close this thread bcoz hum logon se sirf galtiyan ho rahi hain.. aur kuch nahi.. is thread me yahan tak keh diya gaya ki NAOZOBILLAH MOHAMMED S.W per jadoo hua tha.. sad.. very sad..

so before closing this thread i also want to share my opinion on this matter..

About Musa Allehsalaam and feron ke jadoogar..
Dekho yeh baat to saaf hai ki jaan dalna sirf aur sirf allah ki sifat hai aur uske ilawa sir isa ib-n-marium ke paas yeh tha ki woh murdon ko zinda ker sakte the and woh bhi sirf allah ka mojozah tha woh apni marzi se ya apni quwwat se kisi ko bhi zinda nahi kerte the ya kersakte the.. no never.. then firon ke jadoogar kaisi laakdi ko saanp bana sakte hain..? its not possible at all.. koi kaise kisi bejaan cheez me jaan dal sakta hai.. kya unke paas bhi naozobillah koi maujizaah tha..? agar yeh kisi ka yaqeen hai ki firon ke jadugaron ne saanp banaye the then sorry to say but aap ko abhi tauba kerni chahiye bcause aap ko sochna chahiye ki aap kya kehna cah rahe ho aap kehna chah rahe ho ki allah ki ilawa ek mamooli banda jo ki mushrik tha kisi bejaan cheez me jaan daal sakta hai.. no way.. SIRF ALLAH KI SIFAT HAI JAAN DALNA USKE ILAWA SIRF ISA A.S KE PAAS YEH MOJIZAAH THA and duniya me na koi uske ilawa kisi bejaan cheez me jaan daal sakta hai na jaan daal sakega.. THATS ALL..

About Jaado ka asar..
let me explain yahan baat kya ho rahi hai.. ki jaado ka sara hota hai ya nahi.. saaf line hai and jawab saaf hai no. NO WAY.. Quraan me hur jagah likha hai ki jaado sirf ek FAREB hai fareb lafz ka meaning kya hota hai..? its mean ki dhoka.. means ki nazar ka dhoka jiska real me koi wajood nahi hai.. sorry me yahan galat misaal de raha hoon allah taala mujhe muaaf kare is ke liye but yahan me aaj ki duniya ki misaal de raha hoon kabhi AXN T.V dekho usme world biggest megician screts ek programe aata hai usme dikhaya jaata hai ki jaadoo jaisi koi cheez nahi hoti woh sirf trick and aankh ka dhoka hai.. jab woh non muslim yeh mante hain then hame yeh manne me itni dikkat kyon hoti hai.. jab ki aaj se 1400 saal pehle hi hame bataya gaya tha ki jadoo sirf EK FAREB HAI aur kuch nahi.. now come on to jadoogar kuch nahi ker sakte but allah chahe to uska asar ho jaata hai.. then why you people saying that jadoo ka asar hua..? yeh jadoo ka asar hai..? ab yeh tasauur karo ki non muslim ek paththar se mangte hain woh mangte hain us paththar se but deta to allah taala hi hai na.. then yeh kyon nahi maana jaata ki paththar deta hai..? yeh bhi to usi tarah hua na jis tarah kaha jaa raha hai yahan ki jadoogar apne se to kuch nahi kerta but allah chahe to nuksaan hota hai.. to yeh manne me kya dikkat hai ki jadoo ek fareb hai usse kuch nahi hota jo bura hota hai woh allah ki taraf se hota hai.. baat bohot clear hai but manne aur na manne ka farq hai.. jab hum yeh nahi maan sakte ki paththar se koi fayda ya nuksaan hota hai then yeh kaise maan sakte hain ki jadoo se nuksaan hota hai..? NAHI MAAN SAKTE AND MANNA BHI NAHI CHAHIYE.. Jadoo sirf ek fareb hai bus. aur jo baatien logon ko pata hai ki kisi ne kisi per jadoo kia yeh sab bakwas hai.. yeh saabit kaise ho raha hai..? kisi ke ghar me koi problem hai.. koi bimaar rehta hai bohot kisi ka bussiness nahi chal raha to woh yeh nahi sochta ki pata nahi mujhse aisa kya gunah hua ki allah mujhse naraz hai humare ghar me log theek se namaz parh rahe hain ya nahi hamare ghar me quraan ki tilawat ho rahi hai ya nahi.. humne kisi ka huq to nahi maar liya na.. humse koi galti nahi ho gayi na jiski wajah se yeh pareshani ALLAH ki taraf se aagayi.. but nahi woh jayenge maulana ke paas ya kisi mufti ke paas poochne and woh batayenge ki aap ko isliye pareshani hai ya aap ke ghar me is liye bimaari hai bcoz aap per kisi ne jadoo ker diya hai and woh bhi kaun aap ke rishtedar.. 99% logon per rishtedaron ne jadoo kia hota hai.. yeh kaise mumkin hai..? yeh is liye ki hamara imaan bohot kamzor hai hum khud apne dil me hasad rakhte hai hum khud yeh sochte hain ki hamare rishtedaar hamara achcha nahi dekh paa rahe hain.. isiliye woh molvi aisa bolte hain and hum maan lete hain.. GREAT.. yeh kyon nahi sochte bhai sahab ki agar koi pareshani aayi hai to allah se tauba karein aur apne aap ka jaiza lein ki humse kahan galti hui..

So thats clear ki jaadoo jaisi koi cheez nahi hai and us time musa A.S ke samne jadoogar ne koi saanp paida nahi kia yeh ho hi nahi sakta..

And last me my humble request to all of them who believe ki firon ke jadoogaron ne saanp banaye the.. aap log gaur se is cheez per sochiye and jald se jald tauba kijiye..JAAN DALNA SIRF ALLAH KI SIFAT HAI AND USKE ILAWA DUNIYA ME SIRF ISA A.S KE PAAS YEH MAUJIZA THA KI WOH ALLAH KE HUQM SE I REPEAT KI ALLAH KE HUQM SE LOGON KO ZINDA KERTE THE APNI MARZI SE KISI KO ZINDA NAHI KERTE THE..

THREAD CLOSED

REASON: YAHAN AYETON KI AUR ALLAH KE QURAN KI BE HURMATI HO RAHI HAI

Last edited by Muzammil; 30-10-2009 at 02:36 AM. Reason: Add S.W
 
Closed Thread

Tags
asar, chand, effect, follower, jado, jadoo, jadoogar, kay, main, pak, qaeleen, question, quran, sawalat, urdu, zikar

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 02:27 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.