BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Closed Thread
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.67 average. Display Modes
Old 27-10-2009, 07:22 PM   #1
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
Allah chahy tu ho sakta ha or yeh kamyabi ha kya...... k wska jado Allah chahy tu kisi ka nuksan kr dy jab keh Allah ny wski nakami rakhi ha agar wo jado asar nahi ker sakta tu kamyabi ka kehny ka swal he paida nahi hota Allah ny kyoun kaha k wo kamyab nahi ho sakta iss liye kaha k wo agar muqabaly k liye aye tu Allah he kamyab hoga wo nahi jesa k Hazrat Moosa k qasay mein hwa
agar sirf dhokha ha tu kamyabi or nakami ka sawal he nahi paida hota kyoun k ha he dhokha kya dhokha kamyab b ho sakta ha
yeh sab tu aap keh rahay ho ....
kay jadogar kamiyab ho sakta hay....
Quote:

yeh tu trick tha na mein jado ki bat kr raha hn yeh tu apny khud he proov kr diya trick ha laqin jado aesa nahi hota wska physical effect hota ha

Jab jadogar apnay jado say Kisi ko ghar baithay hei nuksaan (phisically effect) pohuncha sakta hay tu . Yeh kiyon nay mantay kay jadogar kamiyab ho jata hay. (Agar jadogar ka maqsad hei kisi ko physical effect karna ho ? tu kia Allah usay physically effect karnay day ga.. aap kay concept kay mutbiq zaror karnay day ga. aur us time Allah yeh bhool ja ay ga main nay Quran main yeh likha hay kay yeh beiman shakhas kamiyab nahi ho sakta )
 
Old 27-10-2009, 07:19 PM   #2
BSIT07-01
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Just read this book Qissa Haroot Maroot Aur Jadoo Ki Haqeqat Surah Albaqrah ayat 102(Islamic Book) What is Magic ? Urdu...
 
Old 27-10-2009, 07:28 PM   #3
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Jadogar ka jado (Mafooqul Asbaab jadoo). ka tu zara sa bhi Allah kay saath koi relation nahi hota hay. Because jadogar yeh bakwas kartay hain kay . yeh sab ham nay khud hei kia hay.jaisa ka Firon kay jadogar
han bilkul aesy he jesy hindo apny khudaon k bary mein kehty hain, perr sb kehty hain yeh sb mein ny kiya agar wo kisi ko keh dayn k tumhare ghar beta hoga tu agar Allah k hukam sy ho jye tu wo b yehi kehty hain or Allah aesy he logon ki azmaesh kerta ha un jhoton k bat ko sach kr k
 
Old 27-10-2009, 07:42 PM   #4
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
But i am still waiting for the answers of above 17 questions....
mera yeh semester kafi mushkil ha mein zara thora papers sy farig ho jaon phir apko ap he k 17 sawalon ka jawab donga or kooshish jesy apny khud swal banaye hain or jawab diye hain mein bhi aesy he ap k jawab dnga or sawal bana kr donga

Magar bat phir b wohi reh jye gi ap apni soch k mutabiq quran k interpretation kero mein apni k mutabiq laqin yeh larai jari rahy gi jab tk ahadees ko consult na kero but apny tu sahi ahadess ko he quran sy takra diya ha tu ab kerty raho larai apni apni interpretation pr
 
Old 27-10-2009, 08:32 PM   #5
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
mujhy jo haq lag raha ha wohi janta hn
ap log jan kr sahi Ahadees ko quran sy takra rahy hain
Aap tu quran majeed ko hei quran majeed say takra rhay ho.. Surah baqrah Ayat 102 porri parho..

Aap udhar yeh mantay ho kay Frishton nay kufar nahi kia. aur udhar mantay ho kay frishtay zameen par aa kay Loogn ko jado sikhatay thay.. baap ray.....

---------- Post added at 09:32 PM ---------- Previous post was at 09:05 PM ----------



Aap un 17 questions ko chhoro wo tu aap nay itnay din ho gay hain . di ay hei nahi ..shyad 17 questions ziyda mushkil ho gai hain..

aap chalo yeh batain sabit kar kay dikhao.

jis kay liye aap itnay din say mere say behis kar rahay hain...

  1. Allah nay zameen par us hasti ko ; Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.
  2. Hazart Mohammad SAW Jado zada shakhsiyat they,aur un par yahoodiyon nay jado kar diya tha (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)
  3. Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar aur jado ki taleem di... (Jado kufar hey , aur frishton ka jado sikhana bhi kufar hay. means frishton nay bhi kufar kia)
  4. Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay.... (jabkay, Bhagwan, tawez, etc waghera waghera ko yeh taqat nahi di)


---------- Post added at 09:05 PM ---------- Previous post was at 08:52 PM ----------

waisay in Questions kay Answer main nay khud nahi di ay hain...
takay aap etraaz na karo kay question poch kay answer khud hei day di ay hain..


---------- Post added at 09:32 PM ---------- Previous post was at 09:05 PM ----------

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Asalam-o-Alaikum to all here,

Mene yeh poora thread read kiya hay lekin me ap dono (BZU, USMAN) ka moqaf nahi samajh paya will u please explain k app ka moqaf kiya hay is behes ka ? takay muje bhi samajh me aye ke kiya sahi hay or kiya galat.

Regards
hmmm... aap nay agar is thread ka title parha ho tu shyad aap ko baat maloom ho ja ay ... kay mera kia moqaf hay...

waisay usman ka moqaf Opper jo main nay likha hay wohi hay...


 
Old 27-10-2009, 11:12 PM   #6
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
kay jadogar kay jado main Allah nay asar rakha hay... AUR JADOGAR KISI ko bina kisi sabab kay physically effect kar sakta hay.. (jo kay jadogar kehta hay, aur jado kanray karnay walay sab kehtay hain. jado ko man nay walay sab logon ka aqeeda hay)
Allah ny asar nahi rakha ha phir jan kr galat taraf matlab ly jaty ho jo mein keh raha hn wo suno


koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha


Quote:
wasif nay pehlay hei is ayat ko shirk say paak bana kar interpret ki hay..
yehi tu bat ha ap Allah ki aeyat mein khud shirk smjhty ho or phir wsko nikal kr interpretation kerty ho jabkeh Allah ki aeyat kabhi shirk nahi rakhtien apki soch rakhti ha

---------- Post added at 10:56 PM ---------- Previous post was at 10:41 PM ----------

Quote:
Aalh nay Frishton ko bhi paida kia hay... kia un kay characteristics insaan ki trah hain?jab nahi hain tu sheetan ko beech main lanay ka koi jawaz hei nahi banata hay mere bhai...
han issi terhan Allah or booton/Peeron etc mein bhi faraq ha na in ki characteristics mein bohat faraq ha

laqin kafir tu booton sy manty, Log peeron k pass ja kr bhi muradain mangty hain or Allah un k zarzeh un ko deta bhi ha
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
yan yeh keh unko sheetan dy raha ha..........
:s alam



---------- Post added at 11:12 PM ---------- Previous post was at 10:56 PM ----------

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Asalam-o-Alaikum to all here,

Mene yeh poora thread read kiya hay lekin me ap dono (BZU, USMAN) ka moqaf nahi samajh paya will u please explain k app ka moqaf kiya hay is behes ka ? takay muje bhi samajh me aye ke kiya sahi hay or kiya galat.

Regards
mera moqaf jo bhi ha wo agar ap yeh sari post perho gy tu smjh aa jye gi

Laqin inka moqaf yeh ha

*Jitni bhi jado sy related sahi ahadees bhi hain jo yeh zahir karti hain k jado mein Allah k hukam sy asar ho sakta ha wo galat hain kyoun k wo quran sy inki interpretation k mutabiq takrati hain jado kuch nahi ha

*jitni bhi sheetan or jinon k mutaliq sahi ahadees hain Sahi muslim or sahi bukhari ki bhi jesy k Allah k nabi ny kaha k sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha wo galat hain

or abhi inka nahi pata laqin kuch or log hain shaid yeh bhi un sy hon yan ap bhi

*jo kehty hain k Azab e Qabar k mutaliq jitni bhi sahi ahadees hain wo bhi galat hain, azab e qabar kuch nahi ha kyoun k quran mein kahin isska zikir nahi ha or jo ahadees hain wo quran ki kuch aeyat sy inki interpretation k mutabiq takrati hain
 
Old 27-10-2009, 11:25 PM   #7
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
*Jitni bhi jado sy related sahi ahadees bhi hain jo yeh zahir karti hain k jado mein Allah k hukam sy asar ho sakta ha wo galat hain kyoun k wo quran sy inki interpretation k mutabiq takrati hain jado kuch nahi ha
Waisay tu jado main asar mannay walon ki interpretation ki mutabiq tu quran ki ayat bhi quran say takrati hain...
app nay aik bhi hadees paish nahi ki phir bhi yeh moqaf keh rahay ho. amazing
Quote:
mujhy jo haq lag raha ha wohi janta hn
ap log jan kr sahi Ahadees ko quran sy takra rahy hain
jado main asar mannay walay tu quran majeed ko hei quran majeed ki buhut saari ayat ko (ayat 102 say) takra rhay ho.sirf yeh sabit karnay kay li ay kay kuch zaeef ahadees main aisa kuch likha huya hay... Surah baqrah Ayat 102 porri parho.tu aap usi ayat ko hei usi say takra rahay ho. hadees ko takarna tu phir bhi door ki baat hay.

jado main asar mannay (shyad aap bhi) udhar yeh mantay ho kay Frishton nay kufar nahi kia. aur udhar mantay ho kay frishtay zameen par aa kay Loogn ko jado sikhatay thay.. baap ray.....

Quote:
koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha

I believe Allah jo chahay kar sakta hay. but Allah apni kahi hoi baat ko ghalat nahi kehta hay...aur Allah ke rasool bhi (hadees) Allah ki kahi hoi baat ko ghalat nahi keh saktay... yeh mera moqaf hay

mera moqaf yeh kay Allah nay jab yeh kaha hay kay. jadogar kabhi kamiyab nahi ho sakta (kia is ko youn interparate kia ja ay kay wo IT kay exams main kamiyab nahi ho sakata, baki sab kaam karnay main kamiyab ho sakta hay) isli ay Allah jadogar ko Bina kisi sabab kay ki ay janay walay jado ko kabhi kamiyab nahi honay day ga.Allah nay Firon kay jadogaron ko bhi fareeb aur dhoka kaaha. Un kay jado ko shobada (trick) kaha...

Agar jadoogar yeh karnay main kamiyab ho jata hay tu Allah apni ayat ko khud wrong karay ga.


Quote:
*jitni bhi sheetan or jinon k mutaliq sahi ahadees hain Sahi muslim or sahi bukhari ki bhi jesy k Allah k nabi ny kaha k sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha wo galat hain
no reference..

Quote:
*jo kehty hain k Azab e Qabar k mutaliq jitni bhi sahi ahadees hain wo bhi galat hain, azab e qabar kuch nahi ha kyoun k quran mein kahin isska zikir nahi ha or jo ahadees hain wo quran ki kuch aeyat sy inki interpretation k mutabiq takrati hain
Azab kay qabar ko koi nahi jhutla sakta... aur na hei main nay jhutalaya hay. Azabe qabar zameeni qabar main nahi balkay alam - e- barzakh wali qabar mein hoga...

Agar quran majeed main azab qabar ki naffi hoti tu wallah hum bhi is hadees ki nafi kartay.

but quran main tu jadogar ki nafi ki gai hay phir bhi us ko zaeef ahadees say sabit kar kay aap yeh sabit kar rahay ho kay aap Jado aur taghoot par emaan rakhtay ho (means kehtay ho kay kisi na kisi trah in main asar hay)... jado aur taghot karnay say na aoozbillah kisi ko mafoqul Asbab nafa nuksaan ho jata hay...(physically effect ho jata hay)
tu sun loo Allah nay aisay logon kay baray main kia farmaya hay...



bina kisi sabab kay koi kaam honay ko mojaza kehtay hain. aap kay is concept kay mutabiq Allah nay jadogar ko mojzay aata ki ay hain kia?
.........
Quote:
Allah ny asar nahi rakha ha phir jan kr galat taraf matlab ly jaty ho jo mein keh raha hn wo suno
Jab Allah nay asar rakha hay jadogar kay jado main tu nechay wali charon batain haq hoti hain ... abh aap yeh proof do kay yeh kaisay sach hain?
Quote:
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
But aap yeh maan rahay ho kay Alah nay jadogar ko har kaam karnay ka ikhtiyar diya hay...
aur yeh kay jado bar haq aur yeh sab kuchh bhi sach hay.... (because yeh sab behis aapo sirf isi waja say kar rahay ho kay aap kehtay ho kay yeh mandraja zail sab waqya huya hay)
  1. Allah nay zameen par us hasti ko ; Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.
  2. Hazart Mohammad SAW Jado zada shakhsiyat they,aur un par yahoodiyon nay jado kar diya tha (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)
  3. Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar aur jado ki taleem di... (Jado kufar hey , aur frishton ka jado sikhana bhi kufar hay. means frishton nay bhi kufar kia)
  4. Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay.... (jabkay, Bhagwan, tawez, etc waghera waghera ko yeh taqat nahi di)

Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain.
 
Old 28-10-2009, 04:17 PM   #8
Raheel
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

I have a question for BZU, ap muje yeh batayen ke Mafooq ul Asbab or Mateht ul Asbab sab ke liye ek hain, means Farishton k liye, Nabiyon or Aam insano k liye, Jinon k liye ? ya sab ke liye alag alag hain ?
 
Old 28-10-2009, 06:31 PM   #9
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
I have a question for BZU, ap muje yeh batayen ke Mafooq ul Asbab or Mateht ul Asbab sab ke liye ek hain, means Farishton k liye, Nabiyon or Aam insano k liye, Jinon k liye ? ya sab ke liye alag alag hain ?
Asalamo Alaikum
Raheel. jee matehtul Asbaab ka meaning Allah ki banai gai sab makhlooq kay li ay aik hei hain. Allah ki banai gai har makhlooq jo bhi kaam karti hay. unka ko na koi sabab zaror hota hay... Right>>abh aap kahogay kay frishtay kaisay matehtul asbab kaam kartay hain.

main nay already kaha hay kay frishton, insano, jino sab kay alag alag characteristics hotay hain. aap bhi usman ki trah wala comparision kar rahay ho. jaisay usman insan (jadogar) ko sheetan
(jo kay na nazar anay wali makhlooq hay) ki taqat say compare kar rahay hain.

e.g: frishton ki characteristics hain, kay wo masoom hotay hain, Gunah say paak hotay hain, insano ki trah fitna nahi kartay, har wo kaam kar saktay hain jis ki Allah nay unko ijazat di hoti hay.aur wo kaam nahi kartay jis say Allah un ko mana farmata hay. (zahir hay Allah nay unko koi na koi aisi taqat di hogi jis say wo kaam kartay hongay)

Sheetan ka tu aap ko pata hei hay kay Allah nay us ko kitni taqat di hay.nahi pata tu quran majeed main parh lijiay ga. (because yahan jadogar (insan) ki behis ho rahi hay sheetani makhlooq ki nahi)

Abh baat agai Insano ki: Sab say pehlay nabi A.S ko lay letay hain, nabi A.S bhi hamari trah kay insan hotay hain. but un main aur aaam insaano main yeh farq hota hay kay un ka wahi nazil hoti thei. jo kay frishtay lay kar utartay thay.But Allah nay Nabi A.S ko Mojzat bhi atta frma ay jo kay matehtul Asbab kaam kartay thay.(but humain tu
mafoqul Asbab show hota hay is kay pechay bhi koi logic hoti hay, e.g Allah frishton ko order day kar wo kaam karwatay hongay.)

Jaisay Mosa A.S ki laathi ka Snack ban jana.
Esa abne Marium ka murda ko zinda kar dena.
etc ... yeh sab mojzat thay...
yeh tu hogi nabi ki shaan


Abh Nabi kay baad Nabi ki ummat : Ummat bhi insan hoti hay aur ummat bhi jo kaam karti hay us kay pechay koi na koi sabab zaror hota hay.wo bhi tab hota hay Agar Allah nay us baat ka hukum dia ho, aur nahi ho sakta chahay hum jitni koshish kar lain. chahay wo peer ho, faqeer ho, molvi ho, malang baba ho, chahay hum hon, chahay jadogar hon.

Wsalam...


---------- Post added at 07:31 PM ---------- Previous post was at 07:17 PM ----------


Abh aap dear usman ki trah kaho gay kay jadogar Allah ki marzi say kaam kiyon nahi kar sakta...

Answer is: Jadogar (insan) kay li ay Allah nay quran majeed main hukum farmaya hay kay wo kabhi kaamiyab nahi ho sakta. tu wo apnay mantar say kaisay jado kar kay apni marzi say jo kaam chahay kar sakta hay?

Jadogar kay li ay Allah tala nay itna bola kay jadogar jadogar jo bhi kar kay dikhata hay wo us ka fareeb hota hay. ayat page1 par quoted hain.


Isliay Allah kabhi jadogar ko jadokar kay uskay marzi kay kaam karnay ki permission bhi nahi day ga.nahi tu Allah tala ki apni hei ayat ki nafi kar day ga.but humain pata hay kay Allah tala kay quran majeed main zara barabar bhi ikhtelaaf nahi hay.

Quote:
Jadogar kay baray main Allah nay farmaya kay, jo sakhas Jadogar kay jado par iman la ay ga, us par Allah ki lanat ho gi, aur Allah kabhi bhi us ki madad nahi karay ga.

dobara paste kardon, shyad aap nay nahi parha

Second reason is this. Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. isliay bhi yeh baat hargiz nahi man ni chahay kay jadogar apnay jado say jo kuch marzi kar sakta hay

Thrid reason is: jado (not trick) kay asar honay ki real life main koi example bhi nahi hay. Agar koi yeh sabit kar leta hay kay hay, to wo Allah ki ayat ki nafi karnay wala ho ja ay ga...


Waisay agar aap ko meri aur quran ki in baton say ikhtelaaf hay tu koi baat nahi. bas afsoos zaror hoga...
 
Old 29-10-2009, 09:47 AM   #10
Raheel
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Ek baaat ap batayen k quran me Allah ne farmaya k jadugar kabhi apnay maqsad me kamyab nahi ho sakta lekin yeh kahan farmaya hay k us k jadu me asar nahi hay ? koi aisi wazaih ayat ho to batayen.

Let suppose agar jadugar kisi per us k mar janay k liye jadu kerta hay lekin woh shuks sakht beemar ho ker theek ho jata hay to yeh howa na k woh jadugar apnay maqsad me kamiyab nahi howa lekin Allah k hukum se woh beemar howa yani us shuks per us jadu ka asar to howa na ?

App agar koi bat samjhana chahti hain or samajhti hain k ap huq per hain to app ko chahiye ke ayat ko quote kerne k sath sath us ki detail shan-e-nuzool or jo us ayat se related sahi ahadees hain wo paish kerain, quran me to Allah ne yeh bhi farmaya k Namaz Qaim kero lekin qaim kesay kerni hay yeh sahi ahadees batati hain na k quran me kahin bhi namaz qaim kerne ka tareeka hay

2nd soorah baqra me jo Allah ne farmaya hay ke woh is jadu wagaira se kisi ka kuch nuqsan nahi ker saktay siwa is k k Allah hi nuqsan ka hukum de, yeh ayat to app bilkul hi jhutla rahi hain..

Ap ne jo Soorah Nisah ki ayat quote ki hay "Kiya nahi dekha tum ne un logon ko jin ko diya gaya hay kuch hisa kitab-e-Ilahi me se k eeman rakhtay hain woh jadu tonay or shaitanee quwaton per" is se kahan wazaih ho raha hay ke jadu me asar nahi hai yeh ayat to yeh bata rahi hay ke in per eeman na rakho k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se.

Last edited by Raheel; 29-10-2009 at 10:11 AM.
 
Closed Thread

Tags
asar, chand, effect, follower, jado, jadoo, jadoogar, kay, main, pak, qaeleen, question, quran, sawalat, urdu, zikar


 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 09:00 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.