Quote:
Originally Posted by .BZU. kia in 3 ayat say wazay nahi ho raha hay ky jo loog kehta hain kay jado main asar hay wo ghalat hay. jabkay jado ki haqeqat sirf itni hay kay wo sirf jhoota shubda hay. aur fareeb hay? |
Agar jadu ki haqeeqat sirf itni hay ke woh jhoota shobda hay to Mian or Biwi me jhagra kesay ho jata tha ?
Quote:
Originally Posted by .BZU. Agar jado main asar hay tu jadogar apnay jado karnay main kamiyab kaisay nahi ho sakta? |
Kamiyab aisay nahi ho sakta k Allah ne usay nakamiyab kernay ka kaha hay is liye woh kesay kamiyab ho ?
Quote:
Originally Posted by .BZU. Jab jado wagheera say kuch nuqsaan hei nahi pohuncha saktay tu jado main asar hei nahi huya na mere bhai jaan...tu Allah kiyon phir us main khud say asar dalay ga? |
Yahan phir me wahi quran wali bat kahunga k mian bivi me jhagra kesay kerwate thay woh log ?
Quote:
Originally Posted by .BZU. Anyway now you beileve kay jadogar ko Allah nay itni taqat day di hay kay wo logon ko bemaar kar sakta hay(jadogar kay jado main asar hota hay)... Tooba Astaghfiruallah. jabkay Allah nay quran majeed main farmya hay kay main momin ka saath deta hon... aur udhar Allah us ka saath day raha hay jis ko Allah khud bura bhala keh raha hay. |
Aisay to jo burayian duniya me phaili howi hain or phail rahi hain woh sab kesay hain kiya shaitan ker raha hay agar ap kehti hain k shaitan ker raha hay to us ko yeh ikhtiyar kesay aya or agar kehti hain k Allah pak ki taraf se hay to yeh kesay howa k quran me Allah ne burayion se roka hay or khud hi duniya me jari ker di hain.
Quote:
Originally Posted by .BZU. Please read the aya. aur batao kaahan likhan say yeh wazahay ho raha hay k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se?aur jadogar kay jado main asar hota hay. Koi asar honay wali ayat to dikhao.. main nay tu dikhai na ayat jin say proof ho rha hay kay jadogar kuch nahi kar sakta. jadogar beiman/dhokay baz hay wagheera wagheera |
App ne ayat quote ki hay lekin abhi tak is ka shan-e-nuzool or is se related jo sahi ahadees hain wo quote nahi ki yeh to wahi baat ho gayee k ek shuks kahay k Allah quran me farmata hay "NAMAZ K QAREEB MAT JAO" ab woh kahay k Allah ne quran me mana farmaya hay namaz k qareeb janay se jab k poori ayat yeh hay k " NAMAZ K QAREEB MAT JAO JAB TUM NASHAY KI HALAT ME HO" or yeh bilkul muje wesay hi lag rahi hay jesay k app apnay 4 sawalat puch rahi hain.
Quote:
Originally Posted by .BZU. surah nisa ki ayat main jado par iman lanay say kia muraad hay? zahir hay yehi muraad hay kay kay jaado main asar maan lena. aur konsa jado par imaan lana ka meaning ho sakata hay? |
Nahi yeh murad nahi hay jadu main asar maan lena is se murad us k kiye daray per emaan lana k us k kernay se hoga jab k saaf wazeh hay Surah Baqra ayat # 102 main k Allah chahay to us me nuqsan ho sakta hay yani k jadu me asar nahi agar Allah chahy to asar ho sakta hay or Nafa Nuqsan bhi. Quote:
Originally Posted by .BZU. Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. |
Beshak us per Allah ki Lanat barasti hay jo asbab per yaqeen rakhta ho.
Quote:
Originally Posted by .BZU. Anyway Abh maan li aap ki baat... aur aap kay mutabiq wo sab batain maan lain ki jadogar kay tonay totkay main asar hay.(aur yeh asar Allah deta hay. because Allah nay jadogar ko sab say bara dhokay baaz aur beiman kaha hay)... aur wo ahadees bhi maan li jin ka aap nay abhi tak zikar hei nahi ki... |
Ab jab bat man li ap ne to sara jhagra hi khatam howa na acha howa maan li bat ap nay wesay bhi ap ko man na hi tha q k ap galat hain apnay daway main.