BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Closed Thread
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.67 average. Display Modes
Old 29-10-2009, 03:42 PM   #1
Raheel
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
kia in 3 ayat say wazay nahi ho raha hay ky jo loog kehta hain kay jado main asar hay wo ghalat hay. jabkay jado ki haqeqat sirf itni hay kay wo sirf jhoota shubda hay. aur fareeb hay?
Agar jadu ki haqeeqat sirf itni hay ke woh jhoota shobda hay to Mian or Biwi me jhagra kesay ho jata tha ?


Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Agar jado main asar hay tu jadogar apnay jado karnay main kamiyab kaisay nahi ho sakta?


Kamiyab aisay nahi ho sakta k Allah ne usay nakamiyab kernay ka kaha hay is liye woh kesay kamiyab ho ?

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Jab jado wagheera say kuch nuqsaan hei nahi pohuncha saktay tu jado main asar hei nahi huya na mere bhai jaan...tu Allah kiyon phir us main khud say asar dalay ga?
Yahan phir me wahi quran wali bat kahunga k mian bivi me jhagra kesay kerwate thay woh log ?

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Anyway now you beileve kay jadogar ko Allah nay itni taqat day di hay kay wo logon ko bemaar kar sakta hay(jadogar kay jado main asar hota hay)... Tooba Astaghfiruallah. jabkay Allah nay quran majeed main farmya hay kay main momin ka saath deta hon... aur udhar Allah us ka saath day raha hay jis ko Allah khud bura bhala keh raha hay.
Aisay to jo burayian duniya me phaili howi hain or phail rahi hain woh sab kesay hain kiya shaitan ker raha hay agar ap kehti hain k shaitan ker raha hay to us ko yeh ikhtiyar kesay aya or agar kehti hain k Allah pak ki taraf se hay to yeh kesay howa k quran me Allah ne burayion se roka hay or khud hi duniya me jari ker di hain.

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Please read the aya. aur batao kaahan likhan say yeh wazahay ho raha hay k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se?aur jadogar kay jado main asar hota hay. Koi asar honay wali ayat to dikhao.. main nay tu dikhai na ayat jin say proof ho rha hay kay jadogar kuch nahi kar sakta. jadogar beiman/dhokay baz hay wagheera wagheera
App ne ayat quote ki hay lekin abhi tak is ka shan-e-nuzool or is se related jo sahi ahadees hain wo quote nahi ki yeh to wahi baat ho gayee k ek shuks kahay k Allah quran me farmata hay "NAMAZ K QAREEB MAT JAO" ab woh kahay k Allah ne quran me mana farmaya hay namaz k qareeb janay se jab k poori ayat yeh hay k " NAMAZ K QAREEB MAT JAO JAB TUM NASHAY KI HALAT ME HO" or yeh bilkul muje wesay hi lag rahi hay jesay k app apnay 4 sawalat puch rahi hain.

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
surah nisa ki ayat main jado par iman lanay say kia muraad hay? zahir hay yehi muraad hay kay kay jaado main asar maan lena. aur konsa jado par imaan lana ka meaning ho sakata hay?
Nahi yeh murad nahi hay jadu main asar maan lena is se murad us k kiye daray per emaan lana k us k kernay se hoga jab k saaf wazeh hay Surah Baqra ayat # 102 main k Allah chahay to us me nuqsan ho sakta hay yani k jadu me asar nahi agar Allah chahy to asar ho sakta hay or Nafa Nuqsan bhi.

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi.
Beshak us per Allah ki Lanat barasti hay jo asbab per yaqeen rakhta ho.

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Anyway Abh maan li aap ki baat... aur aap kay mutabiq wo sab batain maan lain ki jadogar kay tonay totkay main asar hay.(aur yeh asar Allah deta hay. because Allah nay jadogar ko sab say bara dhokay baaz aur beiman kaha hay)... aur wo ahadees bhi maan li jin ka aap nay abhi tak zikar hei nahi ki...
Ab jab bat man li ap ne to sara jhagra hi khatam howa na acha howa maan li bat ap nay wesay bhi ap ko man na hi tha q k ap galat hain apnay daway main.

Last edited by Raheel; 29-10-2009 at 04:01 PM.
 
Old 29-10-2009, 08:40 PM   #2
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Agar jadu ki haqeeqat sirf itni hay ke woh jhoota shobda hay to Mian or Biwi me jhagra kesay ho jata tha ?
So tu khud hei Allah ki ayat ko jhoota keh rahay ho. jab Allah keh raha hay kay jadoo Jhota shubda hay tu yeh baat pochna aap ko shubah bhi nahi deti kay aap aisi baat mere say kaho. aap ko yeh baat Allah say karnay chahiay kay Ay Allah jab tu keh raha hay kay jhoota shubada hay tu saleman A.S kay yahoodiyon ka yeh Aqeeda kiyon tha kay wo yeh kehtay thay is jado say miyan biwi main jhagta ho jata hay? (But Allah nay yeh kaha kay is jado say wo kuch (nafa) miyan biwi main jhagra nahi kara saktay thay...)
Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Yahan phir me wahi quran wali bat kahunga k mian bivi me jhagra kesay kerwate thay woh log ?
Shyad yeh baat main nay already Usman ko explain ki hay kay kaisay jhaghra karwatay tha.

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Kamiyab aisay nahi ho sakta k Allah ne usay nakamiyab kernay ka kaha hay is liye woh kesay kamiyab ho ?
Jab itni baat kar li hay kay jadoogar kaisay kamiyab ho tu matter hei seedha khatam ho gya kay jadogar kay jadoo main asar hei nahi hay. Allah jo chahay karta hay...


Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Aisay to jo burayian duniya me phaili howi hain or phail rahi hain woh sab kesay hain kiya shaitan ker raha hay agar ap kehti hain k shaitan ker raha hay to us ko yeh ikhtiyar kesay aya or agar kehti hain k Allah pak ki taraf se hay to yeh kesay howa k quran me Allah ne burayion se roka hay or khud hi duniya me jari ker di hain.
Phir yahan par sheetan aur Insan ko compare kar rahay ho. Allah nay insan ko 2 rasatay bata ay hain. Aik bura rasata aur aik Neek rasta.jo buray rasatay par amal kar raha hay . wo burayan phila raha hay.


Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
App ne ayat quote ki hay lekin abhi tak is ka shan-e-nuzool or is se related jo sahi ahadees hain wo quote nahi ki
Jaddoo aur Taaghoot main shaan-e-nazool kidhar say aa giya...
aur yeh behis 5 pages tak pohunch gai hay. aap dono nay abhi tak koi bhi aisi hasdees paish nahi ki. jo kay Allah kay quran ki nafi karnay ko tiyar ho...aur kehtay mujhay ho kay shane nazol . shane nazol.
Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
yeh to wahi baat ho gayee k ek shuks kahay k Allah quran me farmata hay "NAMAZ K QAREEB MAT JAO" ab woh kahay k Allah ne quran me mana farmaya hay namaz k qareeb janay se jab k poori ayat yeh hay k " NAMAZ K QAREEB MAT JAO JAB TUM NASHAY KI HALAT ME HO" or yeh bilkul muje wesay hi lag rahi hay jesay k app apnay 4 sawalat puch rahi hain.
Yeh Main nay isi li ay aik ayat ka piece aap ko parhnay kay li ay qoute nahi kia tha. us ayat kay agay pechay wali sab ayat bhi share ki thein takay aap aisa socho bhi na.








Oper tu likh dia kay Wama,. means Aur Nahi...
But Usi ayat kay anadr aglay line main likh dia kay,


Wama means Pechay lag gay us ilam kay...
Yahan par kiyon nahi kaha kay..

Nahi nazil kia giya farishton par? (jabakay peechay itna bhi likh diya hay kay frishton nay kufar nahi kia...aur agar jado Allah nay frishton kay zariay (jadoo, kufar) nazil kia hay tu phir Allah nay Saleman A.S par bhi jadoo (kufar) utara tha .because frishtay Nabiyon kay paas atay hain. airon gheeron kay pass nahi.)


aur phir nechay ja kar dobar yehi keh diya ...

Wama means nahi ...

Qissa Haroot Maroot Aur Jadoo Ki Haqeqat Surah Albaqrah ayat 102(Islamic Book) What is Magic ? Urdu... is ayat kay baray main mazeed tafseer aur Tashreeh is book main darj hay.
Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Nahi yeh murad nahi hay jadu main asar maan lena is se murad us k kiye daray per emaan lana k us k kernay se hoga jab k saaf wazeh hay Surah Baqra ayat # 102 main k Allah chahay to us me nuqsan ho sakta hay yani k jadu me asar nahi agar Allah chahy to asar ho sakta hay or Nafa Nuqsan bhi.
tu aap jado main asar maan kar kiye daray par tu emaan la rahay ho. aur konsa kia dara ha

Surah bakra main yeh nahi likha kay jadogar kay jado main asar dalnay ka hukum hay..

Allah kay hukum wali example aap nay khud hei di hay...


Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Let suppose agar jadugar kisi per us k mar janay k liye jadu kerta hay lekin woh shuks sakht beemar ho ker theek ho jata hay to yeh howa na k woh jadugar apnay maqsad me kamiyab nahi howa lekin Allah k hukum se woh beemar howa yani us shuks per us jadu ka asar to howa na ?
Us ka par jado ka Asar nahi hoya. Yehi baat hay us aayat albaqrah 102 main m kay Allah kay uzan say jo kuch hota hay. jadogar kay jado say kuch nahi hota...
yeh nahi hay kay us jadoogar nay jo mantar waghera parhay hain un say yeh bemaar hoga aur us shakhs par jadogar kay jadoo ka asar ho giya hay...aur waisay bhi jadogar yeh kab manta hay kay yeh sab Allah nay kia hay. phir bhi aapko us kay ki ay daray par emaan hay kay us kay kiye daray main Allah asar dal deta hay.

Quote:
Originally Posted by Raheel View Post
Beshak us per Allah ki Lanat barasti hay jo asbab per yaqeen rakhta ho.
Aap bhi tu jado kay asar (kiye daray par) beieve kar rahay ho na

Quote:
Ab jab bat man li ap ne to sara jhagra hi khatam howa na acha howa maan li bat ap nay wesay bhi ap ko man na hi tha q k ap galat hain apnay daway main.
main nay aap say un baton kay answer pochnay kay li ay kaha hay. chalo shabash answer do zara...
 
Closed Thread

Tags
asar, chand, effect, follower, jado, jadoo, jadoogar, kay, main, pak, qaeleen, question, quran, sawalat, urdu, zikar


 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 11:09 PM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.