Quote:
Originally Posted by Raheel Ek baaat ap batayen k quran me Allah ne farmaya k jadugar kabhi apnay maqsad me kamyab nahi ho sakta lekin yeh kahan farmaya hay k us k jadu me asar nahi hay ? koi aisi wazaih ayat ho to batayen. |
kia in 3 ayat say wazay nahi ho raha hay ky jo loog kehta hain kay jado main asar hay wo ghalat hay. jabkay jado ki haqeqat sirf itni hay kay wo sirf jhoota shubda hay. aur fareeb hay?
Aur nechay wali surah Younis . main Allah nay yeh kaha hay kay agar Allh ka mojaza jado hota tu wo bhi kamiyab nahi hota..
Agar jado main asar hay tu jadogar apnay jado karnay main kamiyab kaisay nahi ho sakta?
Quote:
Originally Posted by Raheel 2nd soorah baqra me jo Allah ne farmaya hay ke woh is jadu wagaira se kisi ka kuch nuqsan nahi ker saktay siwa is k k Allah hi nuqsan ka hukum de, yeh ayat to app bilkul hi jhutla rahi hain.. |
Jab jado wagheera say kuch nuqsaan hei nahi pohuncha saktay tu jado main asar hei nahi huya na mere bhai jaan...tu Allah kiyon phir us main khud say asar dalay ga?
Aur Allah ne jis trah say hukum ki baat hay wo pechay 2 dafa likhi gai hay kay Allah ka hukum kis trah ho sakta hay... yahan yeh nahi likha huya kay Allah jadogar main asar dalnay ka hukum dayga, jabkay yeh zaror likha hay kay jado kisi ko koi faida nahi deta .balklay jado karnay walon ko nuqsaan hoga...
Aur agar is trah ki baat maan lo kay Allah khud hei jadogar kay jado main asar dalnay ya na dalnay ka hukum day deta tu Allah apni hei kahi gai baat ka Ekhtelaaf kar raha hay kay .. udhar Allah keh raha hay kay jadogar kamiyab hei nahi ho sakta . aur udhar Allah beiman jadogar ko jis ko Allah nay kaha hay wo kamiyab hei nahi ho sakta, us ko jado say koi faida hei nahi hoga balkay nuqsaan hota hay,Phir Allah us ki khud hei madad karay ga.. wah ray.
Quote:
Originally Posted by Raheel Let suppose agar jadugar kisi per us k mar janay k liye jadu kerta hay lekin woh shuks sakht beemar ho ker theek ho jata hay to yeh howa na k woh jadugar apnay maqsad me kamiyab nahi howa lekin Allah k hukum se woh beemar howa yani us shuks per us jadu ka asar to howa na ? |
Us ka par jado ka Asar nahi hoya. Yehi baat hay us aayat main kay is ka Allah hukum day ga... yeh nahi hay kay us jadoogar nay jo mantar waghera parhay hain un say yeh bemaar hoga aur us shakhs par jadogar kay jadoo ka asar ho giya hay...
Anyway now you beileve kay jadogar ko Allah nay itni taqat day di hay kay wo logon ko bemaar kar sakta hay(jadogar kay jado main asar hota hay)... Tooba Astaghfiruallah. jabkay Allah nay quran majeed main farmya hay kay main momin ka saath deta hon... aur udhar Allah us ka saath day raha hay jis ko Allah khud bura bhala keh raha hay.
Quote:
Originally Posted by Raheel Ap ne jo Soorah Nisah ki ayat quote ki hay "Kiya nahi dekha tum ne un logon ko jin ko diya gaya hay kuch hisa kitab-e-Ilahi me se k eeman rakhtay hain woh jadu tonay or shaitanee quwaton per" is se kahan wazaih ho raha hay ke jadu me asar nahi hai yeh ayat to yeh bata rahi hay ke in per eeman na rakho k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se. |
Please read the aya. aur batao kaahan likhan say yeh wazahay ho raha hay k jadu wadu se kuch nahi hota magar Allah k hukum or iraday se?aur jadogar kay jado main asar hota hay. Koi asar honay wali ayat to dikhao.. main nay tu dikhai na ayat jin say proof ho rha hay kay jadogar kuch nahi kar sakta
. jadogar beiman/dhokay baz hay wagheera wagheera
surah nisa ki ayat main jado par iman lanay say kia muraad hay? zahir hay yehi muraad hay kay kay jaado main asar maan lena. aur konsa jado par imaan lana ka meaning ho sakata hay? Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. isliay bhi yeh baat hargiz nahi man ni chahay ... Raheel aur Usman bhai ...
---------- Post added at 03:02 PM ---------- Previous post was at 02:43 PM ----------
Anyway Abh maan li aap ki baat... aur aap kay mutabiq wo sab batain maan lain ki jadogar kay tonay totkay main asar hay.(aur yeh asar Allah deta hay. because Allah nay jadogar ko sab say bara dhokay baaz aur beiman kaha hay)... aur wo ahadees bhi maan li jin ka aap nay abhi tak zikar hei nahi ki...
abh aap wo 4 batain quran aur hadees sahi kay roshani main saabit kar kay dikhao...
- Allah nay zameen par us hasti ko ; Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.
- Hazart Mohammad SAW Jado zada shakhsiyat they,aur un par yahoodiyon nay jado kar diya tha (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)
- Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar aur jado ki taleem di... (Jado kufar hey , aur frishton ka jado sikhana bhi kufar hay. means frishton nay bhi kufar kia)
- Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay.... (jabkay, Bhagwan, tawez, etc waghera waghera ko yeh taqat nahi di)
Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain.