BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff

Closed Thread
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 3 votes, 4.67 average. Display Modes
Old 27-10-2009, 03:29 PM   #1
momna gull
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

hame hamesha ye bataya gaya hai k Allah logon ko un k eeemaan un k aqeeday k mutabiq ata karta hai
hindu pooja paat buton ki kertay hain lekin dene wala Allah hi hai
bus ye insaan hi hai jo chahe to Allah se barahe raast maangey ya us main shirk keray bus Insan ko samjh lena chahiye k yehi direct or indirect ka farq ko samajhna hi usay sahi raastay per chala sakta hai

issi tarha chahey koi jaadoogar apnay aap ko kitna bhi azeem keh le us ka jaadoo uswaqt tk nahi chal sakta jab tk Allah na chahy ager koi jaadoogar ye kehta hai k us k jaadoo mai badi taqat hai to usay ye samaj lena chahiye k ye us ki taqat nahi balkay Allah ta'Ala ki taraf se milne wali choot hai or us ki grift roz e akhir zaroor ho gi
mera ye yaqin hai k is puri kaainaat k koi haqeer zarra bhi Allah ta'Ala ki raza k baghair apni jaga se nahi hil sakta chahey koi jadoogar kitni bhi taqat lagaley
 
Old 27-10-2009, 07:25 PM   #2
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by momna gull View Post

laqin yahan tu kaha ja raha ha k jado ka asar ho he nahi sakta Allah chahy bi tu nahi....

---------- Post added at 07:25 PM ---------- Previous post was at 07:23 PM ----------

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post

yeh sab tu aap keh rahay ho ....
kay jadogar kamiyab ho sakta hay....
Jab jadogar apnay jado say Kisi ko ghar baithay hei nuksaan (phisically effect) pohuncha sakta hay tu . Yeh kiyon nay mantay kay jadogar kamiyab ho jata hay. (Agar jadogar ka maqsad hei kisi ko physical effect karna ho ? tu kia Allah usay physically effect karnay day ga.. aap kay concept kay mutbiq zaror karnay day ga. aur us time Allah yeh bhool ja ay ga main nay Quran main yeh likha hay kay yeh beiman shakhas kamiyab nahi ho sakta )
 
Old 27-10-2009, 07:28 PM   #3
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
laqin yahan tu kaha ja raha ha k jado ka asar ho he nahi sakta Allah chahy bi tu nahi....

---------- Post added at 07:25 PM ---------- Previous post was at 07:23 PM ----------

Usman Agar jado main asar hei tu...
Taweez main bhi asar hay..
Bhagwan ki poja karnay main bhi asar hay..

sab cheez main asar hay. because sab cheezain Allah kay haath main....

Aap agar jado main asar mano gay tu sab cheezon main asar manana paray ga... Agar nahi mano gay tu aap apni interpretation ko khud hei jhota sabit kar rahay ho.

Aap ko Agar quran majeed ki ayat ko jhutla kar yeh kehna achha lag raha hay kay Jadoo main Allah nay taqat di hay.. tu theek hay aisay hei mano...
Mujhay koi farq nahi parta ...

But i am still waiting for the answers of above 17 questions....
 
Old 27-10-2009, 07:13 PM   #4
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Wo loog kehtay thay kay is say Miyan biwi main tafarqa ho jata hay , (is ilam say)...
But yeh un kay li ay nuqsaan deh tha. because yeh sirf kufar tha.. aur kufar har kisi kay li ay nuqsaan deh hota hay.. aaj nahi tu qiyamat walay din zaror nuqsaan deh hay...
But Allah nay kia kaha hay... yeh bhi tu parho na aap....
yeh interpretation tu apki ha k wo kehty thy iss aeyat mein tu yeh kahin nahi likha...? yeh tu bilkul apki tahir ul qadri wali interpretations hain

dus bar ghore sy perhain keh iss aeyat mein allah kya farma rahy hain Allah ny yeh nahi kaha k wo kehty thy

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty

yeh Allah keh raha ha garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn translation tu wazeh ha bikul
 
Old 27-10-2009, 07:17 PM   #5
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
yeh interpretation tu apki ha k wo kehty thy iss aeyat mein tu yeh kahin nahi likha...? yeh tu bilkul apki tahir ul qadri wali interpretations hain

dus bar ghore sy perhain keh iss aeyat mein allah kya farma rahy hain Allah ny yeh nahi kaha k wo kehty thy

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty

yeh Allah keh raha ha garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn translation tu wazeh ha bikul
Hence Proved.

Allah tala nay Farishton kay zare ay Salemaan A.S ki qoom par Kufar aur jadoo nazil kia...

Aur Allah nay Islam nahi jado nazil farmaya tha.....
 
Old 27-10-2009, 07:21 PM   #6
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post

Hence Proved.

Allah tala nay Farishton kay zare ay Salemaan A.S ki qoom par Kufar aur jadoo nazil kia...

Aur Allah nay Islam nahi jado nazil farmaya tha.....
duniya k tamam ilm Allah k siwa koi nahi nazil kerta na kr sakta ha na he Allah k hukam k elawa koi kuch kr sakta ha
yahan tk k sans bhi nahi ly sakta

---------- Post added at 07:21 PM ---------- Previous post was at 07:20 PM ----------

I have read many like these....
Almost many of the different school of thoughts
 
Old 27-10-2009, 07:26 PM   #7
.BZU.
Default

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
duniya k tamam ilm Allah k siwa koi nahi nazil kerta na kr sakta ha na he Allah k hukam k elawa koi kuch kr sakta ha
yahan tk k sans bhi nahi ly sakta

---------- Post added at 07:21 PM ---------- Previous post was at 07:20 PM ----------

I have read many like these....
Almost many of the different school of thoughts

haan na Allah kar sakta hay.. Aur Allah nay us zamanay main Aap kay interpretiton kay mutabiq Kufar utara tha. aur Allah tala ka yeh kehna bhi ghalat ho giya kay Saleman A.S nay kufar nahi kia. frishton nay kufar nahi... because us zamanay main Frishtay hei kufar lay kar zameen par utrtay thay...

Quote:
laqin yahan tu kaha ja raha ha k jado ka asar ho he nahi sakta Allah chahy bi tu nahi....
waisay yeh iss li ay kaha ja raha hay kay Quran main Allah tabrq watala nay khud farmaya kay kay jado gar kabhi kamiyab hei nahi ho sakta hay...chahay jadogar kisi bhi tareeqay say kuchh kar kay dikaha ay..

Old 27-10-2009, 07:34 PM   #8
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post

haan na Allah kar sakta hay.. Aur Allah nay us zamanay main Aap kay interpretiton kay mutabiq Kufar utara tha. aur Allah tala ka yeh kehna bhi ghalat ho giya kay Saleman A.S nay kufar nahi kia. frishton nay kufar nahi... because us zamanay main Frishtay hei kufar lay kar zameen par utrtay thay...
kya sheetan ko Allah ny paida kiya?
kya Sheetan ko ikhteyar Allah ny diya wawasy dalny ka?
Kya Allah ny he iss duniya mein Achai or burai paida ki?

yan nahi ha yeh sb kuch?

---------- Post added at 07:34 PM ---------- Previous post was at 07:31 PM ----------

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post

Usman Agar jado main asar hei tu...
Taweez main bhi asar hay..
Bhagwan ki poja karnay main bhi asar hay..

sab cheez main asar hay. because sab cheezain Allah kay haath main....

Aap agar jado main asar mano gay tu sab cheezon main asar manana paray ga... Agar nahi mano gay tu aap apni interpretation ko khud hei jhota sabit kar rahay ho.

Aap ko Agar quran majeed ki ayat ko jhutla kar yeh kehna achha lag raha hay kay Jadoo main Allah nay taqat di hay.. tu theek hay aisay hei mano...
Mujhay koi farq nahi parta ...

But i am still waiting for the answers of above 17 questions....
lakh bar keh chuka hn jado mein , taweiz mein, booton mein asar nahi ha laqin Allah logon ki azmaesh k liye jado k zaryeh logon ka nuksan kerwa sakta ha
booton sy mangny pr kuch bhi ata kr sakta ha
taweiz mein asar nahi laqin logon ki azmaesh k liye tawez k zarzeh kisi ko shifa dy sakta ha
 
Old 27-10-2009, 07:47 PM   #9
BSIT07-01
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
I have read many like these....
Almost many of the different school of thoughts
You read books like that but not that :D
Just read that book once ...hahaha
 
Old 27-10-2009, 07:18 PM   #10
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Jab jadogar apnay jado say Kisi ko ghar baithay hei nuksaan (phisically effect) pohuncha sakta hay tu . Yeh kiyon nay mantay kay jadogar kamiyab ho jata hay. (Agar jadogar ka maqsad hei kisi ko physical effect karna ho ? tu kia Allah usay physically effect karnay day ga.. aap kay concept kay mutbiq zaror karnay day ga. aur us time Allah yeh bhool ja ay ga main nay Quran main yeh likha hay kay yeh beiman shakhas kamiyab nahi ho sakta )
Allah chahy tu ho sakta ha or yeh kamyabi ha kya...... k wska jado Allah chahy tu kisi ka nuksan kr dy jab keh Allah ny wski nakami rakhi ha agar wo jado asar nahi ker sakta tu kamyabi ka kehny ka swal he paida nahi hota Allah ny kyoun kaha k wo kamyab nahi ho sakta iss liye kaha k wo agar muqabaly k liye aye tu Allah he kamyab hoga wo nahi jesa k Hazrat Moosa k qasay mein hwa
agar sirf dhokha ha tu kamyabi or nakami ka sawal he nahi paida hota kyoun k ha he dhokha kya dhokha kamyab b ho sakta ha
 
Closed Thread

Tags
asar, chand, effect, follower, jado, jadoo, jadoogar, kay, main, pak, qaeleen, question, quran, sawalat, urdu, zikar

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 10:34 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.