Quote:
Originally Posted by Raheel I have a question for BZU, ap muje yeh batayen ke Mafooq ul Asbab or Mateht ul Asbab sab ke liye ek hain, means Farishton k liye, Nabiyon or Aam insano k liye, Jinon k liye ? ya sab ke liye alag alag hain ? |
Asalamo Alaikum
Raheel. jee matehtul Asbaab ka meaning Allah ki banai gai sab makhlooq kay li ay aik hei hain. Allah ki banai gai har makhlooq jo bhi kaam karti hay. unka ko na koi sabab zaror hota hay... Right>>abh aap kahogay kay frishtay kaisay matehtul asbab kaam kartay hain.
main nay already kaha hay kay frishton, insano, jino sab kay alag alag characteristics hotay hain. aap bhi usman ki trah wala comparision kar rahay ho. jaisay usman insan (jadogar) ko sheetan (jo kay na nazar anay wali makhlooq hay) ki taqat say compare kar rahay hain.
e.g: frishton ki characteristics hain, kay wo masoom hotay hain, Gunah say paak hotay hain, insano ki trah fitna nahi kartay, har wo kaam kar saktay hain jis ki Allah nay unko ijazat di hoti hay.aur wo kaam nahi kartay jis say Allah un ko mana farmata hay. (zahir hay Allah nay unko koi na koi aisi taqat di hogi jis say wo kaam kartay hongay)
Sheetan ka tu aap ko pata hei hay kay Allah nay us ko kitni taqat di hay.nahi pata tu quran majeed main parh lijiay ga. (because yahan jadogar (insan) ki behis ho rahi hay sheetani makhlooq ki nahi)
Abh baat agai Insano ki: Sab say pehlay nabi A.S ko lay letay hain, nabi A.S bhi hamari trah kay insan hotay hain. but un main aur aaam insaano main yeh farq hota hay kay un ka wahi nazil hoti thei. jo kay frishtay lay kar utartay thay.But Allah nay Nabi A.S ko Mojzat bhi atta frma ay jo kay matehtul Asbab kaam kartay thay.(but humain tu mafoqul Asbab show hota hay is kay pechay bhi koi logic hoti hay, e.g Allah frishton ko order day kar wo kaam karwatay hongay.)
Jaisay Mosa A.S ki laathi ka Snack ban jana.
Esa abne Marium ka murda ko zinda kar dena.
etc ... yeh sab mojzat thay...
yeh tu hogi nabi ki shaan
Abh Nabi kay baad Nabi ki ummat : Ummat bhi insan hoti hay aur ummat bhi jo kaam karti hay us kay pechay koi na koi sabab zaror hota hay.wo bhi tab hota hay Agar Allah nay us baat ka hukum dia ho, aur nahi ho sakta chahay hum jitni koshish kar lain. chahay wo peer ho, faqeer ho, molvi ho, malang baba ho, chahay hum hon, chahay jadogar hon.
Wsalam...
---------- Post added at 07:31 PM ---------- Previous post was at 07:17 PM ----------
Abh aap dear usman ki trah kaho gay kay jadogar Allah ki marzi say kaam kiyon nahi kar sakta...
Answer is: Jadogar (insan) kay li ay Allah nay quran majeed main hukum farmaya hay kay wo kabhi kaamiyab nahi ho sakta. tu wo apnay mantar say kaisay jado kar kay apni marzi say jo kaam chahay kar sakta hay?
Jadogar kay li ay Allah tala nay itna bola kay jadogar jadogar jo bhi kar kay dikhata hay wo us ka fareeb hota hay. ayat page1 par quoted hain.
Isliay Allah kabhi jadogar ko jadokar kay uskay marzi kay kaam karnay ki permission bhi nahi day ga.nahi tu Allah tala ki apni hei ayat ki nafi kar day ga.but humain pata hay kay Allah tala kay quran majeed main zara barabar bhi ikhtelaaf nahi hay.
Quote:
Jadogar kay baray main Allah nay farmaya kay, jo sakhas Jadogar kay jado par iman la ay ga, us par Allah ki lanat ho gi, aur Allah kabhi bhi us ki madad nahi karay ga.
dobara paste kardon, shyad aap nay nahi parha |
Second reason is this. Agar koi shakhas yeh maan lay kay jadogar kay jado main asar hay tu us par Allah ki lanat barsay gi. isliay bhi yeh baat hargiz nahi man ni chahay kay jadogar apnay jado say jo kuch marzi kar sakta hay
Thrid reason is: jado (not trick) kay asar honay ki real life main koi example bhi nahi hay. Agar koi yeh sabit kar leta hay kay hay, to wo Allah ki ayat ki nafi karnay wala ho ja ay ga...
Waisay agar aap ko meri aur quran ki in baton say ikhtelaaf hay tu koi baat nahi. bas afsoos zaror hoga...