Quote:
| "Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty |
Agar aap kehta ho kay yeh dono frishtay thay tu aap ki yeh baat wrong ho jaati hay...
Quote:
|
jee han nahi koofar kiya na farishton ny na he suleman (A.S) ny
|
Aap baar baar is ayat ko iss li ay paish kar rahay ho?

kay jadogar kay jado main Allah nay asar rakha hay... AUR JADOGAR KISI ko bina kisi sabab kay physically effect kar sakta hay.. (jo kay jadogar kehta hay, aur jado kanray karnay walay sab kehtay hain. jado ko man nay walay sab logon ka aqeeda hay)
wasif nay pehlay hei is ayat ko shirk say paak bana kar interpret ki hay..
Quote:
Originally Posted by BSIT07-01 Aap keh rahay ho keh jado allah ki marzi say kaam karta hay .. woh tu sab kuchh allah ki marzi say hota hay ... iss tarah tu main bhi keh doon keh main ghar main baithay baithay fallan kaam kar sakta hoon ... Lakin agar Allah Chahay tu ho jaye ga aur agar allah na chahy tu nahi ho ga ... Tu kia yeh jadoo ho ga? jee nahi bilkul jado nahi ho ga. yeh Allah nay kia hoga
Kia Jadoogar yeh kehta hay keh Allah Nay chaha tu hoga ? wo tu yeh kehtay hain keh humaray ammal say hoga ...
Agar kehtay ho keh jadoo gar kay amal main asar hay tu phir peeroon kay amal main bhi asar hona chahiay... They also do similar things... don't they?
Unhoon nay rasiyan aur lathiyan phaikein ... Saanp nahi thay woh (might be acting like snakes) ... As far I know they were just moving like snakes ...
Aur next ayat kay end main likha hua hay "Un kay jhotay shobdoon ko"
Any correction will be accepted ...  ---------- Post added at 05:41 PM ---------- Previous post was at 05:32 PM ----------
No, It could be interpreted like that ...
Aik jadoogar nay kaha keh yeh banda iss din mar jaye ga ...
Aur Allah nay bhi uss banday kay marnay ka hukm day dia ho ...
Tu kia Allah us jadoogar ko jhoota karnay kay liay apna hukm change kar dain ?
Banda maray ga tu Allah kay hi hukm say But jadoogar kahay ga keh us ki waja say hua hay, Agar woh apnay Amal na karta tu banda na marta ... |
Quote:
Difference ha han laqin dono ko Allah ny paida kiya k nahi?
same aesy he jado mein b bhi Allah k hukam sy nuqsan ho sakta ha or nahi b
|
jab difference hay tu phir insan main aur jadogar main kia difference hay?
aap jo sheetan aur insan ki characteristics ka comparison kar rahay ho..
Aalh nay Frishton ko bhi paida kia hay... kia un kay characteristics insaan ki trah hain?jab nahi hain tu sheetan ko beech main lanay ka koi jawaz hei nahi banata hay mere bhai...