View Single Post
Old 27-10-2009, 11:25 PM   #44
.BZU.
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
*Jitni bhi jado sy related sahi ahadees bhi hain jo yeh zahir karti hain k jado mein Allah k hukam sy asar ho sakta ha wo galat hain kyoun k wo quran sy inki interpretation k mutabiq takrati hain jado kuch nahi ha
Waisay tu jado main asar mannay walon ki interpretation ki mutabiq tu quran ki ayat bhi quran say takrati hain...
app nay aik bhi hadees paish nahi ki phir bhi yeh moqaf keh rahay ho. amazing
Quote:
mujhy jo haq lag raha ha wohi janta hn
ap log jan kr sahi Ahadees ko quran sy takra rahy hain
jado main asar mannay walay tu quran majeed ko hei quran majeed ki buhut saari ayat ko (ayat 102 say) takra rhay ho.sirf yeh sabit karnay kay li ay kay kuch zaeef ahadees main aisa kuch likha huya hay... Surah baqrah Ayat 102 porri parho.tu aap usi ayat ko hei usi say takra rahay ho. hadees ko takarna tu phir bhi door ki baat hay.

jado main asar mannay (shyad aap bhi) udhar yeh mantay ho kay Frishton nay kufar nahi kia. aur udhar mantay ho kay frishtay zameen par aa kay Loogn ko jado sikhatay thay.. baap ray.....

Quote:
koi jado ghar yan wska jado nuqsan nahi pohcha sakta laqin Allah chaty tu ( jado/amliyat) sy kisi nuqsan ka hukam dy sakta ha

I believe Allah jo chahay kar sakta hay. but Allah apni kahi hoi baat ko ghalat nahi kehta hay...aur Allah ke rasool bhi (hadees) Allah ki kahi hoi baat ko ghalat nahi keh saktay... yeh mera moqaf hay

mera moqaf yeh kay Allah nay jab yeh kaha hay kay. jadogar kabhi kamiyab nahi ho sakta (kia is ko youn interparate kia ja ay kay wo IT kay exams main kamiyab nahi ho sakata, baki sab kaam karnay main kamiyab ho sakta hay) isli ay Allah jadogar ko Bina kisi sabab kay ki ay janay walay jado ko kabhi kamiyab nahi honay day ga.Allah nay Firon kay jadogaron ko bhi fareeb aur dhoka kaaha. Un kay jado ko shobada (trick) kaha...

Agar jadoogar yeh karnay main kamiyab ho jata hay tu Allah apni ayat ko khud wrong karay ga.


Quote:
*jitni bhi sheetan or jinon k mutaliq sahi ahadees hain Sahi muslim or sahi bukhari ki bhi jesy k Allah k nabi ny kaha k sheetan insan k jism mein khone ki terhan chal phir sakta ha wo galat hain
no reference..

Quote:
*jo kehty hain k Azab e Qabar k mutaliq jitni bhi sahi ahadees hain wo bhi galat hain, azab e qabar kuch nahi ha kyoun k quran mein kahin isska zikir nahi ha or jo ahadees hain wo quran ki kuch aeyat sy inki interpretation k mutabiq takrati hain
Azab kay qabar ko koi nahi jhutla sakta... aur na hei main nay jhutalaya hay. Azabe qabar zameeni qabar main nahi balkay alam - e- barzakh wali qabar mein hoga...

Agar quran majeed main azab qabar ki naffi hoti tu wallah hum bhi is hadees ki nafi kartay.

but quran main tu jadogar ki nafi ki gai hay phir bhi us ko zaeef ahadees say sabit kar kay aap yeh sabit kar rahay ho kay aap Jado aur taghoot par emaan rakhtay ho (means kehtay ho kay kisi na kisi trah in main asar hay)... jado aur taghot karnay say na aoozbillah kisi ko mafoqul Asbab nafa nuksaan ho jata hay...(physically effect ho jata hay)
tu sun loo Allah nay aisay logon kay baray main kia farmaya hay...



bina kisi sabab kay koi kaam honay ko mojaza kehtay hain. aap kay is concept kay mutabiq Allah nay jadogar ko mojzay aata ki ay hain kia?
.........
Quote:
Allah ny asar nahi rakha ha phir jan kr galat taraf matlab ly jaty ho jo mein keh raha hn wo suno
Jab Allah nay asar rakha hay jadogar kay jado main tu nechay wali charon batain haq hoti hain ... abh aap yeh proof do kay yeh kaisay sach hain?
Quote:
tu kya hm yeh tasawer kr rahy hain k peeron/booton ko allah ny ikhteyar dy diya ha?
But aap yeh maan rahay ho kay Alah nay jadogar ko har kaam karnay ka ikhtiyar diya hay...
aur yeh kay jado bar haq aur yeh sab kuchh bhi sach hay.... (because yeh sab behis aapo sirf isi waja say kar rahay ho kay aap kehtay ho kay yeh mandraja zail sab waqya huya hay)
  1. Allah nay zameen par us hasti ko ; Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.
  2. Hazart Mohammad SAW Jado zada shakhsiyat they,aur un par yahoodiyon nay jado kar diya tha (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)
  3. Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar aur jado ki taleem di... (Jado kufar hey , aur frishton ka jado sikhana bhi kufar hay. means frishton nay bhi kufar kia)
  4. Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay.... (jabkay, Bhagwan, tawez, etc waghera waghera ko yeh taqat nahi di)

Please in kay proof do.. in kay answer main nay khud nahi di ay aap do. nahi tu aap ko etraaz ho jata hay kay aapnay question kay answer khud hei day di ay hain.