Laggay an kyon khud say mujh ko piyara, Khabi Samandar khabi Sitara
Meri musafat ka istaara, Khabi Samnadar khabi Sitara
Teri meri Chahaton ka Mausam bikhar kay simtay,simmat kay bikhray
Issi liyye Aankah main uttara, Khabi Samandar khabi Sitara
Naya naya Ishq kernay walon ! Hum say iss ka ziyan bhi poocho
Bissat-e-Hasti pay hum nay hara, Khabi Samandar khabi Sitara
Tere liyye jagnay ko mehken khabi Gullistan khabi Charaghan
Mere liyye Khwab ka isshara, Khabi Samandar khabi Sitara
Mere bhtaknay pay MEHR yeh Tanz kaisa !!!! k iss jahan main
Howay hain Bay-simt - O - Bay-Kinara, Khabi Samandar khabi Sitara