Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter ho
Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?
Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hain
Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!
Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa
Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar ho
Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan
Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!
Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai
Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho
Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai
Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho
Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya
Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho
Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin
Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho...