Aakhari Chand din December kay Aakhhari Chand din December kay
Har baras hi Girran guzartay hain
Khwahishon k Nigar-khanay say
Kaisay kaisay Gumman guzartay hain
Raftagan kay bikhray sayon ki
Ek Mehfil si dil main sajti ha
Kitnay number pukartay hain mjhe
Jin say Marboot bay-Nawa ghanti
Ab faqat mere dil main bajti ha
Kis qadar piyare piyare namon per
Reengati baad numa si Lakeerin
Meri Aankhon main phail jati hain
Doorian dairay banati hain
Dhyan ki sherion per kiya kiya Aks
Mashalein Dard ki jalatay hain
Nam jo kat gaye hain inn kay harf
Aisay kaghaz per phail jataya hain
Hadsay kay Muqam per jaisay
Khoon shookhtay nishanon per
Chalk say linen lagatay hain
Phir December kay aakhari din m
Har baras ki tarah ab kay bhi
Dairy Eik sawal kerti ha!!!!!
Kiya khabar iss kay aagay tak
Mere inn bay Charagh safhon say
Kitne hi nam kat gaye hon gay
Kitne number bikhar k Raston main
Gard-e-Mazi say att gaye hon gay
Khak kay dheron kay Daman main
Kitnay toofan simat gaye hon gay
Har December main sochti hon
Eik din iss tarah bhi hon ha
Rang ko Roshni main khona ha
Apnay apne Gharon main rakhi howi
Dairy Dost dekhtay hon gay......
Inn Aankhon kay Kahk danon main
Eik Sehra sa Phailta ho ga
Aur kuch bay-Nishan safhon say
Nam mera bhi kat gaya ho ga....
__________________ Qurrat-ul-ain
Last edited by Qurrat-ul-ain; 19-12-2008 at 06:00 PM.
|