![]() |
| ||||||
| Islamic Speeches Download and listen Online Islam Lectures for free See Speech Index Click here. http://almuslimeen.info/speeches/ |
![]() |
| | Thread Tools | Rating: | Display Modes |
| |
| | #1 | ||||||||||||||||||
| |||||||||||||||||||
| | #2 |
| Is molvi kay bayanat aksar mutafariqa hotay hain.... in ko siwaye apas main larnay kay doosra kam nahi or yeh log lartay lartay chalay jatay hain peechay poori ummat ko apas kay ikhtilafat per lara ker jatay hain i really hate them... is ki baton per mujhay Allama ka woh shair yad aya Dil hai Musalman tera na mera, Tu bhi namazi, main bhi namazi, Main janta hun anjaam uss ka, Jis maarkey main Mullah ho ghazi.... | |
| | #3 | |
| Quote:
I was listening a speech of Molana Tariq Jameel last night, Jis ka Title hay:Gustakh wo ya Hum, (you can find it on internet), us main unhon nay challenge kia huya hay kay, meri yeh book parh ker mujhay bataya jaye ke is main kia ghalt hay. that is the reason for this debate... Aur is debate main Molana Sahab ki book kay screen shots ke saath batya giya hay kay haqeqat kia hay... | ||
| | #4 |
| Fazail e Amaal book Moulana Tariq Jamil ki to likhi howi nahi hay....woh challenge kesay ker saktay hain is book kay musanif Sheikh Zakariya Kandhelvi hain... or un ka intiqal howay zamana beet gaya... | |
| | #5 | |
| Quote:
" Hum kehtay hay kay bas huamri book fazaile Amaal parhain, aur batain ke is main kia ghalat hay" | ||
| | #6 |
| Mainay ek bar facebook per ek thread dala tha mujhay yad nahi us main kiya tha... magar ap nay ek bat kahi thi kay yeh sab kernay say Islam or Musalman he badnam hotay hain.. Or yeh bat ap ki achi lagi thi mujhay... ap ki usi bat ko samnay rakh ker agar main ap kay is thread per nazar daloon to is main bhi mujhay siwaye Musalmano or Islam ki badnami kay or kuch nazar nahi ata bat yeh nahi kay haq per koun hay or koun nahi.. Bat yeh hay kay jo admi deen per chalta hay or usay yaqeen hay kay main Deen e Islam per hoon us deen per hoon jisay Rasoolullah Sallalaho Allaih Wasalam lay ker aye to usay apnay deen say itni fursat he na milay kay woh doosron kay deen main keeray nikalta phiray.... Musalmano ko is haal main lanay per sab say bara haath in molvion ka hay... | |
| | #7 |
|
Islam ki tableegh Muhammad SAW ne bhi ki thei. Keeray koi nahi nikaal raha hay kisi kay deen main, Aik Insan ki likhi hoi kitab ko Allah ki likhi hoi kitab say compare ker kay dikha raha hay ke, jis kitab ko ap loog quarn aur hadees samjh rahay hain, us main kia kuch Allah aur us kay rasool ke khilaf hay... Kisi ko Allah aur rasool ke raastay (quran aur hadess) ke rastay ka naam hei tu tableegh hota hay... Molana tariq jameel ki us taqreer ka wo wala part main nay yahan share kia hay... aur end main yeh dua kia gai hay, (Ijtami dua ka koi reference kisi hades main nahi hay) Jis ka Andaz ap khud sun ke batain, (Shirk tu nahi but Allah ki shaan main gustakhi hay) kay kia Allah tala ko in Alam sahab nay daikha huya hay?(Ya Allah koi insan numa chez hay?) jo is tarah say dua maan rahay hain ke, Ay Allah hum tere paon main par jaingay. Tu Aaj ja zameen per Ay Allah, Allah humain apni goud main lay lay.. Hum nay jhoot moot ki toba ki he, ay Allah tu aa ja aur qabool ker le... Aisa bhi nahi kehna chahiye ke main jhooti toba ker raha hon. (Sachi toba kernay per Allah toba qabool bhi kerta hay...) ![]() yeh wo dua hay.. Code: http://www.islamimehfil.info//index.php?app=core&module=attach§ion=attach&attach_rel_module=post&attach_id=25405 | |
| | #8 | |
| Quote:
Yeh jo ap bata rahi hain Molvi sahab bhi yahi bata rahay hain.... just tell me one thing.. ap ko Tariq Jamil ki yeh bat pasand nahi ayee or baqol ap kay us nay gustakhi ki to ap nay us kay jawab main yeh 6 parts la ker rakh diye.. Kiya Tariq Jamil ki poori taqreer main koi ek bat aisi nahi jis say ap itifaq kerti hon ya ap kay Molvi sahab... ab koi ap say ya in Molvi sahab say yeh poochay kay jo batain in ki theek thi.. or ap ko us say itefaaq hay to us main say kitni batain aisi hain jis ko ba haisiat musalman honay kay ap nay promote kiya... koi bhi nahi ek bhi nahi becoz yahan Musalmano kay deen ko koi promote nahi kerna chahta... sab nam namood or shohrat kay liye hay... simple see ek misal daita hoon, meri kisi bat say ap ko itifaq na ho to is ka hal yeh hona chahaye jo Zahid syed sahab nay bataya kay ap mujh say us per behes kerain agar waqayee ap chahtay hain kay Islam ki woh bat jo main galat samjha hoon usay sahi say samajh jaoon or meri Islaah ho lekin agar ap ka maqsad Nam kamana hoga to simple tareeqa hay kisi masjid main ya road per tent laga ker logon ko jama kerain or batain kay falaan yun kehta hay or falaan yun.. Think about it.... | ||
| | #9 |
|
This debate is not for forcing you to leave your molvie, this debate just showing all those things from that book, which you people are thinking is quran and hadis. nothing else. na koi ap ke molvie ko kuch keh raha hay na hei koi ap ke andar larai kerwa ker keh raha hay ke ap apna deen lazmi chhor ker quran aur hadess per amal karna shuru karain, Ap ko Quran aur hadis ko follow kerna hay tu ap karain ya Apko fazaile Amaal ko follow kerna tu bhi ap karain, but fazale amal main buhut kuch anti islamic aur mann ghart likha huya hay, jis ka quran aur hadess say koi wasta bhi nahi hay.. ----------- About dua, Mr zahid.... I know kay dua Allah qabool kerta hay, just tell me any hadis or ayat, which is showing , ke ijtamai dua kerna chahiye, aik tu ijtamai dua ho rahay hai (apni ghari hoi bidat) dosra us main Allah ko aik insan samjh ker pokara ja raha hay. aur yeh bhi kaha ja raaha hay, ky hum jo bhi tobba ker rahay hain yeh jhoti tooba hay, Quran main Allah farmata hay, ke agr jiu sachay dil say sachi tooba ker lay, aur dobara aisa kernay say ruk bhi jaye tu Allah tobba qabool farmata hay.... Quran ya hadis main kahin per mujhy yeh likha dikha dain kay nabi SAW nay Allah ki bargah main jhooti toba ki ho, aur yeh umeed rakhi ho ke Allah meri toba qabool farmaye ga... never ever... Dua ko chhorain, tariq jamel sb ki usi speech main sunain, he is saying humain ya muhammad nahi balkay, Ya rasool , Ya nabi, Ya muzamil, ya Mubashir keh kar pokarana chahiye... jabkay quran majeed main muhammad SAW se Allah nay khud kehlwaya ke Ap inlogon say keh deain kay main tumharay nafa nuqsan ka kuch ikhteyar nahi rakhta, yeh baat maloom honay ke bad bhi logon koi ya rasool pokarnay ki tableegh kerna kahan ka insaf hay? what you wana say, quran ko nahi mantay, fazaile amal ko mantay hain... ========= About same things .. Abu jehil bhi muhammad SAW ko manta tha, sab kuch tasleem kerta tha. but sirf kalma nahi perhta tha, Allah ko wahid ul qahar nahi mannata tha, but wo mushrkeen e Makkah tha... Mushreken Makah ka bhu kuch deen Muhammad SAW ke deen say milta julta tha, but wo saath main shareek thehratay thay.. ============= Jaisay kay is fazele ammal main kaafi jaga per shirkia chezain likhi hoi hay,, ======== | |
| | #10 | |
| Quote:
Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ? | ||
![]() |
| Tags |
| 1 or 6, amaal, fazail, haqiqat, rahmaan, sheikh, touseef |
| |