View Single Post
Old 29-07-2010, 11:49 AM   #6
Raheel
Default Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan

Mainay ek bar facebook per ek thread dala tha mujhay yad nahi us main kiya tha... magar ap nay ek bat kahi thi kay yeh sab kernay say Islam or Musalman he badnam hotay hain.. Or yeh bat ap ki achi lagi thi mujhay... ap ki usi bat ko samnay rakh ker agar main ap kay is thread per nazar daloon to is main bhi mujhay siwaye Musalmano or Islam ki badnami kay or kuch nazar nahi ata bat yeh nahi kay haq per koun hay or koun nahi..

Bat yeh hay kay jo admi deen per chalta hay or usay yaqeen hay kay main Deen e Islam per hoon us deen per hoon jisay Rasoolullah Sallalaho Allaih Wasalam lay ker aye to usay apnay deen say itni fursat he na milay kay woh doosron kay deen main keeray nikalta phiray.... Musalmano ko is haal main lanay per sab say bara haath in molvion ka hay...