![]() |
| ||||||
| Islamic Speeches Download and listen Online Islam Lectures for free See Speech Index Click here. http://almuslimeen.info/speeches/ |
![]() |
| | Thread Tools | Rating: | Display Modes |
| |
| | #1 | |
| Quote:
Yeh jo ap bata rahi hain Molvi sahab bhi yahi bata rahay hain.... just tell me one thing.. ap ko Tariq Jamil ki yeh bat pasand nahi ayee or baqol ap kay us nay gustakhi ki to ap nay us kay jawab main yeh 6 parts la ker rakh diye.. Kiya Tariq Jamil ki poori taqreer main koi ek bat aisi nahi jis say ap itifaq kerti hon ya ap kay Molvi sahab... ab koi ap say ya in Molvi sahab say yeh poochay kay jo batain in ki theek thi.. or ap ko us say itefaaq hay to us main say kitni batain aisi hain jis ko ba haisiat musalman honay kay ap nay promote kiya... koi bhi nahi ek bhi nahi becoz yahan Musalmano kay deen ko koi promote nahi kerna chahta... sab nam namood or shohrat kay liye hay... simple see ek misal daita hoon, meri kisi bat say ap ko itifaq na ho to is ka hal yeh hona chahaye jo Zahid syed sahab nay bataya kay ap mujh say us per behes kerain agar waqayee ap chahtay hain kay Islam ki woh bat jo main galat samjha hoon usay sahi say samajh jaoon or meri Islaah ho lekin agar ap ka maqsad Nam kamana hoga to simple tareeqa hay kisi masjid main ya road per tent laga ker logon ko jama kerain or batain kay falaan yun kehta hay or falaan yun.. Think about it.... | ||
| | #2 |
|
This debate is not for forcing you to leave your molvie, this debate just showing all those things from that book, which you people are thinking is quran and hadis. nothing else. na koi ap ke molvie ko kuch keh raha hay na hei koi ap ke andar larai kerwa ker keh raha hay ke ap apna deen lazmi chhor ker quran aur hadess per amal karna shuru karain, Ap ko Quran aur hadis ko follow kerna hay tu ap karain ya Apko fazaile Amaal ko follow kerna tu bhi ap karain, but fazale amal main buhut kuch anti islamic aur mann ghart likha huya hay, jis ka quran aur hadess say koi wasta bhi nahi hay.. ----------- About dua, Mr zahid.... I know kay dua Allah qabool kerta hay, just tell me any hadis or ayat, which is showing , ke ijtamai dua kerna chahiye, aik tu ijtamai dua ho rahay hai (apni ghari hoi bidat) dosra us main Allah ko aik insan samjh ker pokara ja raha hay. aur yeh bhi kaha ja raaha hay, ky hum jo bhi tobba ker rahay hain yeh jhoti tooba hay, Quran main Allah farmata hay, ke agr jiu sachay dil say sachi tooba ker lay, aur dobara aisa kernay say ruk bhi jaye tu Allah tobba qabool farmata hay.... Quran ya hadis main kahin per mujhy yeh likha dikha dain kay nabi SAW nay Allah ki bargah main jhooti toba ki ho, aur yeh umeed rakhi ho ke Allah meri toba qabool farmaye ga... never ever... Dua ko chhorain, tariq jamel sb ki usi speech main sunain, he is saying humain ya muhammad nahi balkay, Ya rasool , Ya nabi, Ya muzamil, ya Mubashir keh kar pokarana chahiye... jabkay quran majeed main muhammad SAW se Allah nay khud kehlwaya ke Ap inlogon say keh deain kay main tumharay nafa nuqsan ka kuch ikhteyar nahi rakhta, yeh baat maloom honay ke bad bhi logon koi ya rasool pokarnay ki tableegh kerna kahan ka insaf hay? what you wana say, quran ko nahi mantay, fazaile amal ko mantay hain... ========= About same things .. Abu jehil bhi muhammad SAW ko manta tha, sab kuch tasleem kerta tha. but sirf kalma nahi perhta tha, Allah ko wahid ul qahar nahi mannata tha, but wo mushrkeen e Makkah tha... Mushreken Makah ka bhu kuch deen Muhammad SAW ke deen say milta julta tha, but wo saath main shareek thehratay thay.. ============= Jaisay kay is fazele ammal main kaafi jaga per shirkia chezain likhi hoi hay,, ======== | |
| | #3 | |
| Quote:
Or mushrikeen makkah ka jo deen Ap SAW kay deen say milta julta tha wo kiya tha us ki missal day sakti hain jis ko shareek thehraya gaya ? | ||
| | #4 | ||
| Quote:
tu Muhammad ur rasool ullah and sahaba karam ke mission ko kia kahain gay aap? Unki tableegh sun ker bhi loog Dushman ho gay thay, nafrat kertay thay app saw say. ap ko pathr mar mar ker laho luhaan ker dia tha unhon nay ![]() aur yahan kufar ke fatway koi khud say nahi laga raha hay is speech main, Quran aur hadess laga rahay hain... kisi ko koi haq bhi nahi hay ke wo kisi ke oper khud say kufar ka fatwa laga day.. ![]() Quote:
![]() Allah ke saath saath wo butoon Waliyon (jin ke unhon ne 365 butt bana rakhay thay) aur butoon ki ko bhi mushkil kusha samjhtay thay.. dosrai hastiyon ko pokara kertay thay... Jaisay is book fazile amaal main tableegh ki gai hay... read above, what was their deen... | |||
| | #5 | |
| Quote:
Ap ko itna bhi nahi pata? Good Joke... Pehlay sawal samjhain phir bat kerain.. mainay poocha hay woh batain jo un kay (Mushrikeen e Makkah) or hamaray deen main mushtarika thin .. woh mushtarik batain kiya thi ? | ||
| | #6 | ||
| Quote:
, so you belive fazaile amaal aik seedhi baat nahi hay,..lol ![]() ![]() yeh haq baton ko parchar hay.. Qabar Parasti? ; Sheikh Tauseef Ur Rehman Kya Wasile Ke Baghair Dua Kabool Nahi Hoti ; Sheikh Tauseef Ur Rehman Auliya Allah Kaun......; Sheikh Tauseef Ur Rehman Masjid Ki Shaan ; Sheikh Tauseef Ur Rehman Seerat-e-Usmaan (RA); Sheikh Tauseef Ur Rehman aur fazale amal aik ke andar say shirk wali batain point out kerna logon ko samjhana bhi haq ka parchar hota hay... batil baat ka nahi... ![]() Quote:
for more listen this speech.. Ummat-E-Muhammad(SAW) Aur Shirk ; Sheikh Tauseef Ur Rehman Mushrik aur Mommin | |||
| | #7 | |
| Quote:
Just tell me one thing... Meri or ap ki yeh sari behes ek taraf sirf yeh videos jo ap nay rakhi hain wo koi non muslim dekhega to Islam kay baray main us ki raye kiya hogi... Is ko bhi chor dain Islam main kitnay firqay hain konsay firqay ka kis say kiya ikhtilaf hay yeh sab yahoodi or christian bhi jantay hain... kiya ap janti hain Christianity kay kitnay firqay hain or un main apas main kia ikhtilafat hain.. nahi janti hongi coz wo hamari tarah yeh sab harkatain nahi kertay un ki debates face to face hoti hain apnay apnay followers ko lay ker nahi... | ||
![]() |
| Tags |
| 1 or 6, amaal, fazail, haqiqat, rahmaan, sheikh, touseef |
| |