View Single Post
Old 19-11-2011, 04:22 PM   #8
Muzammil
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

2 Things

1st to "journalistabid" about
Allah na Nabi Pak SAWS ko kaha agr ya log gunah kr lay tmhry pass ay aur tm inn k lya dua kro too ma un ko maaf kr do ga.

Yahan baat un logon ki ho rahi thi ki jo allah ke munkir the unhe islam per laana tha aur islam per aane ke liye unhe tauba to kerni hogi.. aur uswaqt huzoor SAWS deen fela rahe the to jise bhi islam qabool kerna ho aur tauba kerni hogi to woh unhi ke paas jayega.. and second thing dont compare nabi to wali.. Allah ke nabiyon ka darja bohot alag hai unke baad pehle sahabi.. tabayeen, tabetabayeen fir wali aate hain.. pata nahi mujhe yeh kyon samajh nahi aata ki log mazaron per jaa ker walyon se duaon ki ilteja kerte hain but koi sahabi se ilteja kyon nahi kerta.. jab ki kuch sahabyon ko hamare nabi pak ne dunyan me hi allah ke huqm se jannat ki khushkhabri sunayi hai ki unhe janna milegi.. baqi kisko pata ki kaun kahan jane wala hai.. .. kisi bhi wali ko jannta ki khushkhabri nahi mili hai.. agar allah ne qayamat ke din unki koi baat pakad li to koi kya ker sakta hai..qyamat ke din nabi tak darenge ki pata nahi unki koi harkat allah taala na pakad lein.. wali ki baat to bohot door hai.. unhe khud ka hosh to hoga nahi ki mera kya hona hai.. woh dusron ko kaise jannat me le jayenge ya unki sifarish karenge.. agar log yeh sochte hain ki mere peer murshid mujhe jannat me le jayenge ya mere liye sifarish karneg to woh bewaqoof aur jahil hain.. qayamat ke din koi kisi ki sifarish nahi karega.. nafsi nafsi ka alam hoga.. yahan tak ki maa apne bete ko bhi nahi pehchanegi.

2nd BZU

Tarjuma aur mafhoom alag hote hain.. hur maslaq ki quran me alag translation hai aur uska mafhoom alag tarah se diya gaya hai.. meine dekhe hue hain.. agar sabke translation aur mafhoom ek hon to poore dunya ke musalman ek na ho jayein.
  Reply With Quote