BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam > Islamic Speeches
Islamic Speeches Download and listen Online Islam Lectures for free
See Speech Index Click here. http://almuslameen.info/speeches/



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 4 votes, 4.00 average. Display Modes
Old 11-02-2011, 03:09 PM   #1
.BZU.
Video/Movie Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 01:25 AM   #2
thecool
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

Waseela ka Shirk Ayat

Name:  Waseela ka Shirk Ayat.jpg
Views: 18116
Size:  238.7 KB
  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 11:13 AM   #3
haseeb
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

AsslamoAlykum..
ma behs tou nhi krta but i think hr Maslak apny maslak k ULLMA ki pehrvi krta hai..
2nd ye k jahn hum ayat-e-qurani ka turjama r videos copy paste karain wahn humain ye b daikhna chaiy k ye tasdeeq shuda hai k nahi. coz hr maslak k ullama ikram ny apny hisab sy translations ki hwi hain. xperince btata hai aksr log issi waja sy ghumra ho jaty hain., even larai jhgra jo mahzhabi ikhtilafaat ki waja sy hota hai wo issi waja sy hota hai, coz some time ik frqa k log mukhtlif firqo k ullama ki batain copy krty hain. baqi ALLAH PAk Bhtr Jann'ny Walay Hain.
  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 12:27 PM   #4
journalistabid
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

haseeb you are right..

I've read in Holy Quran, jis ka mafhom ya h,
Allah na Nabi Pak S.A.W ko kaha agr ya log gunah kr lay tmhry pass ay aur tm inn k lya dua kro too ma un ko maaf kr do ga.

I think (it may be wrong) hm ko iss tarah dua krni chahy k Allah k Pyary Nabi Pak S.A.W hm gunah gar h, ap ki bat Allah manta h too plz ap hmri mughfirat ki dua kr day.....
  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 04:26 PM   #5
.BZU.
Not Matter Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

Quote:
I think (it may be wrong) hm ko iss tarah dua krni chahy k Allah k Pyary Nabi Pak S.A.W hm gunah gar h, ap ki bat Allah manta h too plz ap hmri mughfirat ki dua kr day.....


It may be wrong, nahi.. Really wrong hay, ke App Allah say Maafi mangny ke liye, App Allah ko chhor kar dosriyon hastiyon se maafi ki talab karain...


I ave got that ayat..
surah Nissa 4, ayat 64...
---------
Yahan per makah kay, munafqeen ki baat ho rahi hay...
Pakistan kay Munfqeen ki baat tu nahi ho rahi??
AIK BAAR AYAT 61-63 ka bhi mutala ker lain...Takay patta chal jaye, ke Wo konsay loog hain, Jin ko Allah farma raha hay, ke Muhammad S.A.Wkay pass chalay aaty...

اور جب ان سے کہا جاتا ہے کہ جو حکم خدا نے نازل فرمایا ہے اس کی طرف (رجوع کرو) اور پیغمبر کی طرف آؤ تو تم منافقوں کو دیکھتے ہو کہ تم سے اعراض کرتے اور رکے جاتے ہیں.61
تو کیسی (ندامت کی) بات ہے کہ جب ان کے اعمال (کی شامت سے) ان پر کوئی مصیبت واقع ہوتی ہے تو تمہارے پاس بھاگے آتے ہیں اور قسمیں کھاتے ہیں کہ والله ہمارا مقصود تو بھلائی اور موافقت تھا.62
ان لوگوں کے دلوں میں جو کچھ ہے خدا اس کو خوب جانتا ہے تم ان (کی باتوں) کو کچھ خیال نہ کرو اور انہیں نصیحت کرو اور ان سے ایسی باتیں کہو جو ان کے دلوں میں اثر کر جائیں 63
: اور ہم نے جو پیغمبر بھیجا ہے اس لئے بھیجا ہے کہ خدا کے فرمان کے مطابق اس کا حکم مانا جائے اور یہ لوگ جب اپنے حق میں ظلم کر بیٹھے تھے
اگر تمہارے پاس آتے اور الله سے بخشش مانگتے اور رسول بھی ان کے لئے بخشش طلب کرتے تو خدا کو معاف کرنے والا (اور) مہربان پاتے 64


yeh pora trajma hay.. Surah Nissa ayat 61 - 64

Abh in main yeh batain, ke App ka shumar bhi wo loogon main hay??
Jo Museebat kay waqat Muhammad S.A.Wke pass jhoot qasmain khaty hoty thay??مصیبت واقع ہوتی ہے تو تمہارے پاس بھاگے آتے ہیں اور قسمیں کھاتے ہیں

Ya ap ko bhi aaj ki date main , Allah kay rasool aisay nasehat bhi kerty rehty hain, Jaisay is ayat main zikar hay,, kay اور انہیں نصیحت کرو اور ان سے ایسی باتیں کہو جو ان کے دلوں میں اثر کر جائیں


Ya aap bhi aisay hei chal ker Allah kay rasool SAW kay pas jaty hain... Jaisay Makkkah ke munafiq loog chal ker jaty thay....

اور یہ لوگ جب اپنے حق میں ظلم کر بیٹھے تھے اگر تمہارے پاس آتے


BTW...
Muhammad S.A.W har kisi ki pokar khud sun nahi laity thay? jaisay ap keh rahy hain kay Huamain iss trah say dua karna chahiye..??

Ya Munafqeen ko apny kartooton ki maafi mangny kay liye Muhammad SAW kay paas chal ker ana parta tha? Quran (4:64)
-----
Ap ho kay! ap ko Allah aur Muhammad S.A.W say apny buray kartoton ki maafi mangwanay kay liye chal ker bhi nahi jana parta....

Yaa phr ap yeh samjhty ho ke, Muhammad SAW HAZIR, NAAZIR, MUSHKIL KUSHA, POKARAIN SUNNAY WALAy hain,|
Bilkul waisay hei jaisa Allah Tabarak Watalah hamari Pokar sunta hay.. Mauz Allah
------
Jabky oper wali ayat saaf gawahi day rahi hay,AAP SAW, jab zinda hayat thay, tab bhi wo hazir, nazir nahi thay, aur logon ko Muhammad SAW say (Ki gaye ziyadtiyon ki) maafi mangny ke liye ana perta tha..

Quote:
Bilkul usi trah, Jaisay agar hum nay kisi Shaks say kisi mistake ki Sorry/Maafi mangna ho, Humain un ko ja kar sorry bolna hota hay.

Laikin wo shakhs agar iss dunia say rukhsat ho jain, Yaani Wafat paa jaye, tu hum us say sorry bhi nahi kar sakty..

Aur Allah bhi tab hei maaf kerta hay, Jitny tak wo shaksh humain maf na kar day...
(Haqoq ul Ibaad)



  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 08:28 PM   #6
haseeb
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

ma itni detail mei nahi jana chah'ta, just itna kahu'ga k aap dost jab bhi kuch Islamic hawala sy share karin tou saath mein koshish kr k refrnce bhi diya kijy. murad k jo Ayat,Hadees, Turjuma ap ny copy kia hai wo kis book sy r kis Musan'f (write) ki book hai.. iss sy bht si aasaniya ho jati hain. r uljhan bhi nahi rehti parhny waly ko...
  Reply With Quote
Old 18-11-2011, 09:47 PM   #7
.BZU.
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

Quote:
Originally Posted by haseeb View Post
ma itni detail mei nahi jana chah'ta, just itna kahu'ga k aap dost jab bhi kuch Islamic hawala sy share karin tou saath mein koshish kr k refrnce bhi diya kijy. murad k jo Ayat,Hadees, Turjuma ap ny copy kia hai wo kis book sy r kis Musan'f (write) ki book hai.. iss sy bht si aasaniya ho jati hain. r uljhan bhi nahi rehti parhny waly ko...
i also just do not want to argue anything,
main ne tu speech ka part yahan share kia tha...wo bhi aaj nahi... 11-feb-2011, 03:09 PM ko share kia tha

aur comments tu ap logon ne kiye ..

tarjama ki jo baat hay, yeh Quran majeed ka trajma hay, ayat kay ilawa aur tu koi reference nahi dia ja sakta..main ne Ayat likhi hain., kahin say bhi parh lain, yehi tarjama hoga... jahan say bhi daikh lain...
  Reply With Quote
Old 19-11-2011, 04:22 PM   #8
Muzammil
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

2 Things

1st to "journalistabid" about
Allah na Nabi Pak SAWS ko kaha agr ya log gunah kr lay tmhry pass ay aur tm inn k lya dua kro too ma un ko maaf kr do ga.

Yahan baat un logon ki ho rahi thi ki jo allah ke munkir the unhe islam per laana tha aur islam per aane ke liye unhe tauba to kerni hogi.. aur uswaqt huzoor SAWS deen fela rahe the to jise bhi islam qabool kerna ho aur tauba kerni hogi to woh unhi ke paas jayega.. and second thing dont compare nabi to wali.. Allah ke nabiyon ka darja bohot alag hai unke baad pehle sahabi.. tabayeen, tabetabayeen fir wali aate hain.. pata nahi mujhe yeh kyon samajh nahi aata ki log mazaron per jaa ker walyon se duaon ki ilteja kerte hain but koi sahabi se ilteja kyon nahi kerta.. jab ki kuch sahabyon ko hamare nabi pak ne dunyan me hi allah ke huqm se jannat ki khushkhabri sunayi hai ki unhe janna milegi.. baqi kisko pata ki kaun kahan jane wala hai.. .. kisi bhi wali ko jannta ki khushkhabri nahi mili hai.. agar allah ne qayamat ke din unki koi baat pakad li to koi kya ker sakta hai..qyamat ke din nabi tak darenge ki pata nahi unki koi harkat allah taala na pakad lein.. wali ki baat to bohot door hai.. unhe khud ka hosh to hoga nahi ki mera kya hona hai.. woh dusron ko kaise jannat me le jayenge ya unki sifarish karenge.. agar log yeh sochte hain ki mere peer murshid mujhe jannat me le jayenge ya mere liye sifarish karneg to woh bewaqoof aur jahil hain.. qayamat ke din koi kisi ki sifarish nahi karega.. nafsi nafsi ka alam hoga.. yahan tak ki maa apne bete ko bhi nahi pehchanegi.

2nd BZU

Tarjuma aur mafhoom alag hote hain.. hur maslaq ki quran me alag translation hai aur uska mafhoom alag tarah se diya gaya hai.. meine dekhe hue hain.. agar sabke translation aur mafhoom ek hon to poore dunya ke musalman ek na ho jayein.
  Reply With Quote
Old 19-11-2011, 06:11 PM   #9
.BZU.
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)

Quote:
Originally Posted by Muzammil View Post
2 qayamat ke din koi kisi ki sifarish nahi karega.. nafsi nafsi ka alam hoga.. yahan tak ki maa apne bete ko bhi nahi pehchanegi.
:P

Nasfa nafsi ka alam tu theek hay..

But Quran majeed main , 1 yeh ayat bhi mojood hay, jis ka mafhoom hay,kay

Qiymat kay din, Neek log dosray naik logon ki (Choti choti khataon ke bakhshwanay ki) Allah kay hukum say safrish kerain gay... (But yahan bhi yeh kahin nahi hay, ke Neek logon ko Safairsh kay liye Pokara jaiyega)

Yeh Safarish Qiymat kay Rooz hei hogi, Aj kal kay dinon main nahi.

Abh iss ayat ka, molviyon nay yeh meaning nikaal lia hay. ke Zindon ko aur murdon ko safarish kay liye Pokarana chahahiye.. agar nahi Pokarain gay, tu Allah Hamari Pokar sun bhi nahi saky ga, Maza Allah..
  Reply With Quote
Old 09-12-2011, 02:53 AM   #10
.BZU.
Default Re: Wasela Jayaz Hai? (Shiekh Tauseef-ur-Rehman)


  Reply With Quote
Reply

Tags
hai, jayaz, shiekh, tauseefurrehman, wasela

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 02:39 PM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.