View Single Post
Old 30-07-2010, 10:03 AM   #9
Raheel
Default Re: Fazail e Amaal ki Haqiqat by Sheikh Touseef ur Rahmaan

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Islam ki tableegh Muhammad SAW ne bhi ki thei. Keeray koi nahi nikaal raha hay kisi kay deen main, Aik Insan ki likhi hoi kitab ko Allah ki likhi hoi kitab say compare ker kay dikha raha hay ke, jis kitab ko ap loog quarn aur hadees samjh rahay hain, us main kia kuch Allah aur us kay rasool ke khilaf hay...

Kisi ko Allah aur rasool ke raastay (quran aur hadess) ke rastay ka naam hei tu tableegh hota hay...

Molana tariq jameel ki us taqreer ka wo wala part main nay yahan share kia hay...
aur end main yeh dua kia gai hay, (Ijtami dua ka koi reference kisi hades main nahi hay)
Jis ka Andaz ap khud sun ke batain, (Shirk tu nahi but Allah ki shaan main gustakhi hay)
kay kia Allah tala ko in Alam sahab nay daikha huya hay?(Ya Allah koi insan numa chez hay?) jo is tarah say dua maan rahay hain ke,
Ay Allah hum tere paon main par jaingay.
Tu Aaj ja zameen per Ay Allah,
Allah humain apni goud main lay lay..
Hum nay jhoot moot ki toba ki he, ay Allah tu aa ja aur qabool ker le...
Aisa bhi nahi kehna chahiye ke main jhooti toba ker raha hon. (Sachi toba kernay per Allah toba qabool bhi kerta hay...)
yeh wo dua hay..
Code:
http://www.islamimehfil.info//index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_rel_module=post&attach_id=25405

Yeh jo ap bata rahi hain Molvi sahab bhi yahi bata rahay hain.... just tell me one thing.. ap ko Tariq Jamil ki yeh bat pasand nahi ayee or baqol ap kay us nay gustakhi ki to ap nay us kay jawab main yeh 6 parts la ker rakh diye.. Kiya Tariq Jamil ki poori taqreer main koi ek bat aisi nahi jis say ap itifaq kerti hon ya ap kay Molvi sahab... ab koi ap say ya in Molvi sahab say yeh poochay kay jo batain in ki theek thi.. or ap ko us say itefaaq hay to us main say kitni batain aisi hain jis ko ba haisiat musalman honay kay ap nay promote kiya... koi bhi nahi ek bhi nahi becoz yahan Musalmano kay deen ko koi promote nahi kerna chahta... sab nam namood or shohrat kay liye hay... simple see ek misal daita hoon, meri kisi bat say ap ko itifaq na ho to is ka hal yeh hona chahaye jo Zahid syed sahab nay bataya kay ap mujh say us per behes kerain agar waqayee ap chahtay hain kay Islam ki woh bat jo main galat samjha hoon usay sahi say samajh jaoon or meri Islaah ho lekin agar ap ka maqsad Nam kamana hoga to simple tareeqa hay kisi masjid main ya road per tent laga ker logon ko jama kerain or batain kay falaan yun kehta hay or falaan yun.. Think about it....