Apni Dhun Main Rehta Hun apni dhun main rahta hun
main bhi tere jaisa hun
o pichli rut k sathi
ab k baras main tanha hun
teri gali main sara din
dukh k kankar chunta hun
mujh se ankh milaye kaun
main tera aina hun
mera diya jalaye kaun
main tera khali kamra hun
tu jiwan ki bhari gali
main jangal ka rasta hun
apni lahar hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun
ati rut mujhe royegi
jati rut ka jhonka hun
__________________
ladkian kaanch ki chorion ki tarah hoti hai
qaim rahain to shaan badhati hain.
Or ager toot jaen to koi bhi unhen samait ker apne hath zakhmi nahi kerta
dedicated to all girls www.momnagull.com |