BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan Right Header

Register FAQ Community Calendar New Posts Navbar Right Corner
HOME BZU Mail Box Online Games Radio and TV Cricket All Albums
Go Back   BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan > Entertainment & Enjoyment > Poetries > Urdu Poetry

Notices

Urdu Poetry Share Poetry here,Just for the poetry loving students...


Reply
 
Thread Tools Search this Thread Rate Thread Display Modes
  #1  
Old 14-09-2009, 06:25 PM
Muzammil's Avatar
Super Moderator

 
Join Date: Oct 2008
Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English
Class Roll Number: 1234
Muzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud of
Default Muhabat jin se hoti hai..

Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai

yakin ki akhri manzil pe bhi aa kar
koi khadsha koi shak koi andesha
buhat bay chain rakhta hai

Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai

kahin ye wasal k lamhe
badal jayein na furqat mein

kahin ye qurb ki ghariyan
judai me dhal na jayein
kahin aisa na ho k koi usko bad guman kar de

kahin aisa na ho k
jis ko humne hasil-e-umer-e-rawa samjha
jhatak kar hath wo bay dard sab kuch raigan kar de

kahin aisa na ho
wo meharban ankhen badal jayein

kahin aisa na ho
ye garamjoshi sard par jaye

tapak-e-jan se milne ki ravish
yakh basta ho jaye

aday-e-dilbarana bay rukhi da roop dhar lay
aur dil ka dard ban jaye

Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai

kabhi wo mehfil me sab k samne ehtiyatan bhi
agar nazren chura jaye to dil pat chot lagti hai

aansoon ka mee'n barasta hai
kabhi masrofiyat me mehviyat me

fone ki ghanti ka wo notice na lay
aur rabte ka sisila moqoof ho jaye

dharak uthta hai dil
ye janiye kya ho gaya usko

tawajjah me kami kyun a gaye?
kyunnn uski janib aik sann'ata sa chaya hai?

jo apna is qadar apna tha
aakhir kyunnn paraya hai?

Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai
__________________
Some thing about me but hardly can find
http://www.muzammilbashir.com/

Last edited by Muzammil; 14-09-2009 at 06:36 PM.
Reply With Quote
Reply

Tags
hai, hoti, jin, muhabat


Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests)
 

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Khushio'n ki is ghari me gar teri deed hoti Kitni haseen-0-dil'kash phr apni EID hoti usman_latif_ch Urdu Poetry 0 25-09-2011 06:35 PM
muhabat ho bhi sakti thi snowwhite Urdu Poetry 0 16-11-2010 05:10 PM
Yeh Muhabat Hay .BZU. Designed Poetry 1 02-04-2010 05:42 PM
Pehnaway: Jaisay Khushboain rangon say hum kalam hoti hain, (urdu) Larkiya kia hoti hain, Yeh larkiyan chatakti mehakti ... .BZU. Stories,Novels & Kahaniyan 0 09-05-2009 01:46 AM
Muhabat ka almea! Madiha Fatima Urdu Poetry 2 07-10-2008 08:44 AM

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 06:25 PM.
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.