Muhabat jin se hoti hai.. Muhabat jin se hoti hai unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai yakin ki akhri manzil pe bhi aa kar koi khadsha koi shak koi andesha buhat bay chain rakhta hai Muhabat jin se hoti hai unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai kahin ye wasal k lamhe badal jayein na furqat mein kahin ye qurb ki ghariyan judai me dhal na jayein kahin aisa na ho k koi usko bad guman kar de kahin aisa na ho k jis ko humne hasil-e-umer-e-rawa samjha jhatak kar hath wo bay dard sab kuch raigan kar de kahin aisa na ho wo meharban ankhen badal jayein kahin aisa na ho ye garamjoshi sard par jaye tapak-e-jan se milne ki ravish yakh basta ho jaye aday-e-dilbarana bay rukhi da roop dhar lay aur dil ka dard ban jaye Muhabat jin se hoti hai unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai kabhi wo mehfil me sab k samne ehtiyatan bhi agar nazren chura jaye to dil pat chot lagti hai aansoon ka mee'n barasta hai kabhi masrofiyat me mehviyat me fone ki ghanti ka wo notice na lay aur rabte ka sisila moqoof ho jaye dharak uthta hai dil ye janiye kya ho gaya usko tawajjah me kami kyun a gaye? kyunnn uski janib aik sann'ata sa chaya hai? jo apna is qadar apna tha aakhir kyunnn paraya hai? Muhabat jin se hoti hai unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai |
All times are GMT +5. The time now is 07:27 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.