Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai
yakin ki akhri manzil pe bhi aa kar
koi khadsha koi shak koi andesha
buhat bay chain rakhta hai
Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai
kahin ye wasal k lamhe
badal jayein na furqat mein
kahin ye qurb ki ghariyan
judai me dhal na jayein
kahin aisa na ho k koi usko bad guman kar de
kahin aisa na ho k
jis ko humne hasil-e-umer-e-rawa samjha
jhatak kar hath wo bay dard sab kuch raigan kar de
kahin aisa na ho
wo meharban ankhen badal jayein
kahin aisa na ho
ye garamjoshi sard par jaye
tapak-e-jan se milne ki ravish
yakh basta ho jaye
aday-e-dilbarana bay rukhi da roop dhar lay
aur dil ka dard ban jaye
Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai
kabhi wo mehfil me sab k samne ehtiyatan bhi
agar nazren chura jaye to dil pat chot lagti hai
aansoon ka mee'n barasta hai
kabhi masrofiyat me mehviyat me
fone ki ghanti ka wo notice na lay
aur rabte ka sisila moqoof ho jaye
dharak uthta hai dil
ye janiye kya ho gaya usko
tawajjah me kami kyun a gaye?
kyunnn uski janib aik sann'ata sa chaya hai?
jo apna is qadar apna tha
aakhir kyunnn paraya hai?
Muhabat jin se hoti hai
unhe khone ka dar har waqt daman geer rehta hai