BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan Right Header

HOME BZU Mail Box Online Games Radio and TV Cricket All Albums
Go Back   BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan > Entertainment & Enjoyment > Poetries > Urdu Poetry > Aik Shair Aik Ahsaas

Aik Shair Aik Ahsaas ی ی柝 ی 柝 ی ̪


Reply
 
Thread Tools Search this Thread Rate Thread Display Modes
  #1  
Old 26-12-2011, 04:38 PM
na3eel's Avatar
Ruthless Aggression

 
Join Date: Dec 2011
Location: Pakistan
Age: 38
Posts: 15
Contact Number: 0900-78601
Program / Discipline: MBA after BBA
Class Roll Number: 73737373
na3eel will become famous soon enough
Thumbs up Kiya baat kary Koi ?

Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gadaei ka
Shaair ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shair utarnay say
Badal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak kay medaan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uthta
Jab shakh pay imkan ki
Is dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabeen apni
Ik shakhs nahin rota
Jab neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain
Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon say chalein ghar mein
Is farsh pay mitti kay
Ab ghaas nahin ugti
Ab saamp nikaltay hain
Deewar say aur dar say
Ab noor ki boondon say
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Pa lenay mein, khonay mein
Jab baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !

Reply With Quote
Reply

Tags
baat, kary, kiya, koi


Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests)
 
Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
khud ko mujh se juda kiya us ne, Jo na karna tha woh kiya us ne, azmizryk Urdu Poetry 0 17-12-2011 07:49 PM
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo, Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo, azmizryk Urdu Poetry 0 08-12-2011 07:19 PM
Khuda se husn ne eik roz ye sawaal kiya jahan mein kyun na mujhey tuney lazawaal kiya usman_latif_ch Urdu Poetry 0 02-12-2011 03:12 PM
Wah jee kia baat hay thecool Funniest Pictures 6 01-12-2010 10:48 AM
Ik arzu hai puri parwardigar kary usman_latif_ch Urdu Poetry 0 01-10-2009 07:25 PM

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 03:53 AM.
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.