Kiya baat kary Koi ? Kya aah bharay koi Jab aah nahin jati Dil say bhi zara gehri Aur arsh say kuch oonchi Kya nazm likhay koi Jab khwab ki qeemat mein Aadarsh ki soorat mein Kashkoal gada’ei ka Shaa’ir ko diya jaey Aur roak liya jaey Jab shair utarnay say Badal say zara oopar Taaron say zara neechay Kya khaak likhay koi Jab khaak kay medaan par Ungli ko hilanay say Toofan nahin uth’ta Jab shakh pay imkan ki Is dasht-e-tamanna mein Ik phool nahin khilta Rahbar nahin ruktay Mohoam si manzil par Aankhon kay isharay say Aur noor ki boondon ki Bochhar nahin hoti Ik neelay sitaray say Jab dil kay bulaway par Iss jheel kanaray par Peghaam nahin aata Ik door ka bashinda Ik khwab ka shehzada Gulfaam nahin aata Basti mein koi aurat Raaton ko nahin soati Jaagi huwi aurat ki Soi hui qismat par Jab koi bhi deewana Be chain nahin hota Dehleez kay pathar say Takra kay jabeen apni Ik shakhs nahin rota Jab neend kay shedaei Khwabon ko tarastay hain Aur dekhnay kay aadi Binaei say dartay hain Reh reh kay andheray say Aankhon mein utartay hain Aankhon kay ujalon say In phool say bachchon say Keh do keh na ab nangay Paa’on say chalein ghar mein Is farsh pay mitti kay Ab ghaas nahin ugti Ab saamp nikaltay hain Deewar say aur dar say Ab noor ki boondon say Mehki hui mitti mein Anmol ujalay kay Woh phool nahin khiltay Ab jheel kanaray par Bichhray bhi nahin miltay Basti mein koi aurat Raton ko nahin soti Aur jagnay walon say Ab nazm nahin hoti Kya nazm likhay koi Jab jagnay, sonay mein Pa lenay mein, khonay mein Jab baat kay honay mein Aur baat na honay mein Kuch farq na reh jaey Kya baat karay koi ! |
All times are GMT +5. The time now is 05:25 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.