Re: What you did for our country today? Must Read Once
asalam o alaikum. mein ne aapki post mein kahi jane wali bato k kuchh answers diye hain which are..... but aap ko nahi lagta ki yeh achchi baat hai ki aap uska dhol bajao ki aaj aapne kiya kya
pehli baat to yeh hai k aap ne bohat hi achi baate ki to unhe mind karne ka sawal hi peda nahin hota. aur dear brother har kisi ki apni niyat aur soch hoti hai. mein islam k hawale se aapko example deta hu. agar aap apni neki ko kisi k saamne dohrao is niyat se k aapki tareef ho to yeh to riya kari hui na. magar agar aapka maqsad kisi ko ache kaam k liye encourage karna hai to its too different. even k agar koi aap se impres ho k namaz ya kisi aur neki ki ibtadaa karde to iska to aapko ajar mile ga. isi tarah mera maqsad bhi yahan dhol bajana nahin balke kisi na kisi tareeqe se sub ko encourage karna hai.aur agar yeh dhol peetna ho to mein ne yeh dhol bajane ki koshish ki qk yahan har koi kuchh na kuchh karna chahta hai but zarurat hai plateform ki. apne yeh to nahi poocha ki aaj humne mazhab ke liye kya kiya ya insaniyat ke liye kya kiya..?
dekhye har kisi ki apni apni soch hoti hai aur meri apni soch yeh hai k jo shakhs sahih maano mein acha musalman ho woh acha insan hai aur aik sahi patriotic hai. qk acha musalman apne hamsayo ka khyal karta hai to kya kisi ghareeb ki madad karna patriotism mein nahin hota qk isi tarah se hum aik pakisani ko bhi to serve kar rahe hain aur yeh insanyat ki khidmat bhi to hai na. isi tarah acha pakistani jab mulk k logo ki khidmat karta hai to insanyat ki khidmat bhi hoti hai aur haqooq ul ibaad bhi pure hote hain. mein ne yahan mention kia tha shayad ki hum apne mulk k liye dua kar sakte hain to kya dua ibadat nahin.......??
hum sub jante hain ki hamari pasti ki bunyadi wajah mazhab se doori hai. corruption hai qk hum ne rishwat ko acha samajhna shuru kar dia. agar hum islam k is msg ko follow karein to kya mulk ki khidmat nahin hogi. so mere liye acha muslim ban'na, acha insan ban'na ya phir acha pakistani ban'na almost similar hai qk in sub ka aapas mein bohat qareebi rishta hai.
i hope you understand it.
|