BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Chit Chat (http://bzupages.com/3-chit-chat/)
-   -   What you did for our country today? Must Read Once (http://bzupages.com/f3/what-you-did-our-country-today-must-read-once-3429/)

kanaan 05-05-2009 09:21 PM

What you did for our country today? Must Read Once
 
Asalam 0 Alaikum!
Friends aik doosri website k discussion form pe mene aik topic post kia tha jahaan discussion karte karte hum aise muqaam pe pohanche k mein ne wahaan isi naam se thread start kardi aur aaj yahaan kar raha hoon.
Friends kitaabo mein to kai baar parha hai k "YEH MAT SOCHO K IS MULK NE TUMHEIN KYA DIA. BAL KE YEH SOCHO K TUM NE IS MULK KO KYA DIA" to chalye kitaabo se bahar nikal kar practically is par amal karein. IS POST MEIN SIMPLY AAPKO HUMEIN YEH BATANA HAI K HUM APNE MULK KO KESE SERVE KAR SAKTE HAIN. FEEL FREE TO SHARE YOUR IDEAS. SAATH SAATH HUM SUB KOSHISH KAREIN GE K APNE MULK KI KHIDMAT KAREIN AUR JESE BHI APNE MULK KI KHIDMAT KAREIN USY YAHAN MENTION KAREIN.
UMEED KARTA HOON K AAP AUR HUM SUB BHARPOOR ANDAAZ MEIN APNE IDEAS SHARE KARIEN GE AUR SUB SE EHAM BAAT APNE IS PYARE MULK KI KHIDMAT KAREIN GE AUR USY YAHAN MENTION KAR K SUB KO ENCOURAGE KAREIN GE.

SHUKRIYA
AAPKA, HAMARA AUR HAMARE MULK O MAZHAB KA "ALLAH HAAFIZ".

kanaan 07-05-2009 08:33 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
well mene aaj apne country ki salaamti aur aman k liye dua ki. saath saath aik msg bhi tamaam dosto ko forward kia k
yeh nafrat buri hai na palo isy
dilo mein hai ranjish nikalo isy
na sindhi, na baloch, na punjabi, na pathan na mahaajir
yeh sub ka watan hai sambhalo isy

kanaan 08-05-2009 08:28 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
A.a
meri post itni to boring nahin k koi allah ka banda bhi reply na kare. Anyhow mein ne again bohat se dosto ko patriotic msgs fwd kiye. But come on yaaro tay pyaaro mujhe ap logo ki support chaye

usman_latif_ch 08-05-2009 10:38 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
boaring tu nahi ha per pata nahi kyuon log mere smait aesi post mein interest nahi dty laqin aesa nahi hona chaheya jahan or bohat sa fazool waqt zaya kiya ja sakta ha wahan apny mulak k liye bhi 5 min diye ja saktay hain na
iss liye mein ny thori gharat kha ker kuch socha likh he doon phir yahan bhi

kanaan 19-05-2009 08:48 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
mere aik frnd ne mujhe aik msg fwd kia jsi mein aik zubaan bolne walo k against baat ki gai thi. mein ne us msg mein editing kar k usy woh msg phir se send kia aur kaha k aap ka msg kuchh aise behtar lage ga k
koi sui maange hum teer dien ge.
koi mula maange to hum peer dein ge.
koi lassi maange to hum kheer dein ge.
magar kisi ne pakistan ko torna chaha to hum cheer dein ge.
1 pakistan, 1 unit
i convinced him k humein apni classification zubano aur shehro ki bunyaad par nahin bal k apne mulk ki bunyaad par karni chahye.

Muzammil 20-05-2009 03:05 AM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
mujhe likhna to yahan bohot kuch hai.. but sochta hoon ki panga hoga bekar me.. waise bhi mera aaj pange kerne ka mood nahi hai.. aur may be aap log uska galat matlab nikale...

@ Usman.. yaar apne admin se kaho ki quick reply ka option nahi show ho raha hai is theme me..

usman_latif_ch 20-05-2009 06:46 AM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 8485)

@ Usman.. yaar apne admin se kaho ki quick reply ka option nahi show ho raha hai is theme me..

Quick nahi tu post reply tu ha ....

Qurrat-ul-ain 20-05-2009 10:37 AM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
Asao 2 all.
I think apne mulk k baghair humari koi identity nahi hai aur is spost ko boring kehna munsaib nahi ho ga.Aaj hum log issi Mulk ki wajah say hi Aazad hain . kya yeh kaafi nahi hai??
baqi her kissi ki apni soch hoti hai??

kanaan 20-05-2009 09:12 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
exactly. yehi to mera matlab hai k jis mulk ne humein azadi aur sahih maano mein zindagi di hum ne us mulk ko kya dia?

Muzammil 20-05-2009 10:24 PM

Re: What you did for our country today? Must Read Once
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 8486)
Quick nahi tu post reply tu ha ....

Theme problem hai yaar.. 3.7.4 ki theme hi shayad aur forum 3.8.2 hai na.. isliye. pata nahi kaise ise time mil jata hai upgrade kerne ke liye.. me itne din se soch raha hoon apna forum upgrade kerne ke liye but kaun sab files replace karega fir pata nahi kuch panga ho jaye to poore 12.5k members to gaye.. aur inhe to pange lene ki purani aadat hai..

@kanan. bura na mano bhai to aap se ek baat kehni thi.. yeh theek hai ki encourage ker rahe hain sab ko apne mulk ke liye khidmat kerne ke liye.. but aap ko nahi lagta ki yeh achchi baat hai ki aap uska dhol bajao ki aaj aapne kiya kya.. hur bande per uske mulq ka ehsaan hota hai aur use apne mulk ke liye lazmi kaam kerna chahiye but usk matlab yeh nahi aap dhol bajate raho meine aaj yeh kiya meine aaj woh kiya.... BTW aapne yeh to nahi poocha ki aaj humne mazhab ke liye kya kiya ya insaniyat ke liye kya kiya..? kya aapne aaj kisi ko koi neqi kerne ke liye force kiya..? ya namaz ke liye force kiya..?. ok dont mind just meine aise hi likh diya hai.. waise bhi prectically poocho to aaj kal ke zamane me kisi ke paas insaniyat ke liye ya islam ke liye bhi time nahi hota.. baat buri hai but sach hai bus accept kerni hai ki haan hum itne bure ho gaye hain ki hamare paas ab theek se farz ada kerne ka time bhi nhi hota.. namaz tak thek se nahi padte.. jab ki sab se pehla haq allah taala ka hai hum per.. mere kehne ka matlb hai.. ki jaisa aapne kaha kitabon se bahar aaker baat karo.. to yeh baat hai asal zindagi ki.. yeh sawal sirf kitaabon ke liye hi hai ki aapne apne mulk ke liye kiya kya..


All times are GMT +5. The time now is 01:58 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.