BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Old 22-09-2011, 07:33 PM   #1
thecool
Cool Quran should read with understand

““ÈöÓã Çﷲ ÇáÑÍãٰä ÇáÑÍیã““

QURAN KO SAMAJH KER PARHNA CHAHEYE
ALLAH ne Quran ko bagher samjhay parhne ki ijazat nahi di. is bare mae kuch ayaat hen jis mae is baat ko mukhtilif tarekay se beyan kya gya hay. Har kom mae isi kom ki zuban ka bolne wala Rasool bhega gaya tha takay ALLAH ka pegham achi tarah Pohncha or Samjha dya jaye.
“or hamne apna pegham dene k lye jab kabhi koi Rasool bhega hay is ne apni kom hi ki zuban mae pegham dya hay takay wo unhen achi tarah khol ker baat samjhay”
sura ibraheem, ayt 4
ALLAH insan ko bohat kuch batana chahta hay bohat kuch samjhana chahta hay per afsos ye kom sochne or samjhne k lye tayaar hi nahi.

“ALLAH tumhare lye ahekaam ki tozeeh kerta hay takay tum bhataktey na phiro or ALLAH her cheez ka ilm rakhta hay”
sura nisa, ayt 177
“or is tarah ham apni nishaneya khol khol ker pesh kerte hen takay mujrimo ki rah bilkul numaya ho jaye”
sura al-inaam, ayt 55
Quran tu saray jahaan ki akwaam ki Hidayt k lye nazil kya gaya hay lekin ye Quran Arbi zuban mein hay lehaza har kom k pass is ki apni Maadri zuban mae tarjumay wala Quraan hona lazmi hay takay ALLAH ka peghaam sahi tarah se us k Bando tak pohnch jaye.
Musalmano ki aksaryat Namaz mae Arbi k alfaazo ka matlab nahi janti. wo jo kuch parh rahe hote hen unko uska matlab nahi pata hota. Arbi ka jo rata lagaya huwa hota hay. wahi alfaz ada kertey rehtey hen. jab k Quran kheta hay k

“….namaz is waqt parho jab tum jano k kya khe rahe ho”
sura nisa, ayt 43
ALLAH ne har jaga tarah tarah se yehi bat beyan ki hay k Quran ko ghor ghor se samjh samjh ker parho.
“ye aik bari barkat wali kitab hay jo hamne tumhari taraf nazil ki hay takay ye log is ki ayt per ghor karen or aqal rakhna wale is se naseyat hasil karen”
sura suwa’d, ayt 29


Bohat se peer or molvi khetay hen k ap Quran samajh nahi saktey, ye mushkil hay, sara ap ki samjh nahi ayega, apko ham jita bataen ap wahi samjhen per Quran in jhutay molveyo ka parda faash kerta hay
“or hamne Quran ko samjhne k lye asaan kerdya tu koi hay k sochay or samjhay?”
sura al-qamer, ayt 17,22,32,40
ALLAH ka fesla or in molveyo ka Naqli chehra ap k samne hay. ALLAH ne har jaga apni ayten khol khol ker beyan ki per log Quran ko chore ker in molveyo ki andhi pervi mae masroof hogye. Mene ap k samne sirf Quran ki bat ki kisi molvi ki baat ya kisi dosri kitab ka hawala daleel k tor pe nahi dya.

“or sab mil ker ALLAH ki rasi ko mazboti se paker lo or tafurka mae na parho……”
sura ale-imran, ayt 103
“or un logo ki tarah na hona jo firko mae but gaye or khuli wazeha hidayt ane k baad phir ikhtelaf karne lage ye wo log hen jinko (kayamat k din) bara azab hoga”
sura ale-imran, ayt 105
  Reply With Quote
Reply

Tags
quran, read, understand

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 05:48 PM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.