BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Old 22-09-2011, 07:39 PM   #1
thecool
Thumbs up Maded ya Shirk (Help or Shirk) ??

““ÈöÓã Çﷲ ÇáÑÍãٰä ÇáÑÍیã““

MADDAD

Namaz har musalman momin par 5 waqt ki farz hai. Ham jo kuch namaz main parhte hain wo aik tarha se hamara malik-e-kainat se wada hota hai. ham har rakat main khetay hain
“Ae ALLAH ham teri hi ibadat karte hain aur sirf tuj hi se se madat mangtay hain”
sura fatiha
Or is k bad ham bahir nikalte hain tu ya-Rasool maddad, ya Ali maddad, ya-Hussain maddad, pukarte hain. kya mazak samja howa hai?? ya phir ALLAH se darr nahi lagta?? aik taraf tu wada karte hain k ham teri hi ebadat krte hain or dosre taraf ALLAH k bando ko maddat k liye pukarte hain?? Akhir kis ko pagal banaya ja raha hay?? jab k ALLAH kheta hai k
“Aur ALLAH ko chore kar dosre illah banate hain ta kay in ki maddad kren. Wo in ki maddad har giz na kar sakain gey chahey in ki puri fouj hi kyo na jama ho jaey”
sure yaseen, ayat 74-75
“ALLAH k ilawa jin hastiyon ko ye pukarte hain kuch peda nahi karte balkay wo tu khud peda karda hain. murda hain jin main jan ke ramaq bhi nahi aur inhain tu ya b nhi malom k dobara kab zinda kiya jaey ga”
sura Al-nehal, ayat 21-22
“ay logon aik misal qaeim ke jate hai issy ghoor se sunno ! beshak wo log jinhain tum ALLAH k ilawa pukarte ho aik makkhi bhi nhi peda kar sakte chahey wo sub jama ho jaeian aur wo makkhi agar in se kuch cheen le tu isy chora nhi sakte kitne kamzor hain ye chahane wale aur jin se chaha ja raha hai”
sura Al-hajj, ayt 73
“aur ALLAH ko chor kar in logon ne jinhen illah bana rakha hai koi chez nhi peda kar sakte wo tu khud makhloq hain wo apni jano k liye bhi bure bhale ka ikhtiyar nhi rakhte or unhen tu marne jenay or dobara ji uthne ki b kudrat nahi”
sura AL-furqan, ayt 3
Nabi (S.A.W.W) tu khud ALLAH ko pukarte they kyon k hamain jo maddat milti hai sirf ALLAH ki taraf se milti hai.
“Ay Nabi App khe dijiye k main tu sirf apne rab ko hi pukarta hon aur us k sath kisi ko b shareek nhi karta. App khe dijiye k mere ikhtiyar main nahi tumhara bura aur na rah par lana. App khe dijiye k muj ko na bachaye ga ALLAH k hath se koi aur na paonga us k siwa koei jaey panha”
sura Al-jan 20 se 22
“maddat ALLAH k siwa kise ki janib se nahi wo bohat zoor aawar aur hekmat wala hai”
sura Al-imran, ayt 126
sura Al-anfal, ayt 10
Jo log Ya-Rasool maddad, ya-Ali maddad pukarte hain wo ye bat bhool q jate hain k Nabi () tu khud Apne liye kuch nahi kar sakte the wo tumhare liye kia karain gey...... jaisa k Quran ma aya hia k.
“App khe dijiye k main apni jan k liye bhi nafa nuksan ka ikhtiyar nahi rakhta magar jo ALLAH chahey aur agar main gayb janta tu apne liye kher-kaseer akhati kar leta aur mujhe koi burai na pohanchti main tu bas imandar logon ko darane or khush khabri sunane wala hoon”
sura Al-aeraf, ayt 188
“App khe dijiye k main tu apni jan k liye bhi kisi bure bhale ka malik nahi magar jo ALLAH chahe”
sura younas, ayt 49
ALLAH k ilawa kisi or se maddad mangna shirk hay. Hamen her chez ALLAH deta hay. gham bhi, khushi b, dukh bhi, sukh bhi, or kisi mae takat nahi k ALLAH k feslay k agay apna fesla suna sakey. hamen jo kuch magna hay sirf usi se mangna hay q k wahi har cheez pe qadir hay
“or ager ALLAH tumhen koi takleef pohnchaye tu is k siwa koi nahi jo tumse wo takleef dur ker sakey or ager wo tumko koi bhalai pohnchaye tu wo her chez per qadir hay”
sura al.inaam, ayt 17
itni sari ayt k bawjood koi shirk krega tu ALLAH ne us k dil per moher laga di hay. wo kuch soch samjh nahi sakta. koi shaksh aik ayt ko b jhutlayega tu wo kafir khelayega. ALLAH nehayt meherbaan hay
“ap khe dejye k is tufaan or her takleef se tumhe ALLAH hi bachata hay phir bhi tum shirk kertay ho”
sura al.inaam, ayt 64

Last edited by Salman Mushtaq; 22-09-2011 at 10:20 PM. Reason: Buhat si jagah ALLAH k spell ghalat thay end main HA tha main ne AH kiya hai
  Reply With Quote
Reply

Tags
maded, shirk


 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 05:32 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.