
08-09-2011, 04:42 PM
|
 | | | Join Date: Sep 2007 Location: near Govt College of Science Multan Pakistan
Posts: 9,693
Contact Number: Removed Program / Discipline: BSIT Class Roll Number: 07-15 | |
Koi waqt purana yaad aaya Koi waqt purana yaad aaya
Koi dost suhana yaad aaya
Or chaak se in divaaron par
Khuch likh kar jana yaad aaya
Tera milna neem ki chhaon mein
Aur sir rakh dena kandhe par
Mera ye kehna koi daikh na le
tera wo ghabrana yaad aaya
Kabhi aisa bhi to hota tha
main tujh ko chorne jata tha
Jab wapas aane lagta tha
tera haath hilana yaad aaya
Wo waqt gia lamhe beet gae
ab har janib tanhai hai
Ab aik hai manzar aankhon mein
Tera chor ke jana yaad aaya.. |