![]() |
Koi waqt purana yaad aaya Koi waqt purana yaad aaya Koi dost suhana yaad aaya Or chaak se in divaaron par Khuch likh kar jana yaad aaya Tera milna neem ki chhaon mein Aur sir rakh dena kandhe par Mera ye kehna koi daikh na le tera wo ghabrana yaad aaya Kabhi aisa bhi to hota tha main tujh ko chorne jata tha Jab wapas aane lagta tha tera haath hilana yaad aaya Wo waqt gia lamhe beet gae ab har janib tanhai hai Ab aik hai manzar aankhon mein Tera chor ke jana yaad aaya.. |
| All times are GMT +5. The time now is 08:03 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.