06-02-2010, 08:59 AM
|
| Super Moderator | | Join Date: Oct 2008 Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English Class Roll Number: 1234 | |
Kal choudween ki raat thi Kal choudween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chand hai, kuch ne kaha chehra tera
Hum bhi wahin mojood the, hum se bhi sub poocha kiye
Hum huns diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera
Is sheher mein kis se milein? Hum se to chhotein mehfilein
Her shakhs tera naam le, her shakhs deewana tera
Kooche ko tere chor ker jogi he ban jaein magar
Jungel tere, parbat tere, basti teri, sehra tera
Hum or rasm-e-bandagi? aashuftagi? uftadgi?
Ehsan hai kia kia tera? Aye husn-e-be-parwa tera
Wo ashk jane kis liye, palkon pe aa ker tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera
Aye be daraigh-o-beamaan, hum ne kabhi ki hai faghan??
Hum ko teri wehshat sahi, hum ko sahi soda tera
Hum per yeh sakhti ki nazar? Hum hain faqeer-e-rahguzar
Rasta kabhi roka tera? Daman kabhi thama tera?
Han han teri surat haseen, lekin tu aisa bhi nahin
Is shakhs k ashaar se shoura huwa kia kia tera
Be dard sunani ho to chal, kia achi kehta hai ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shair tera, Insha tera |