10-02-2009, 05:55 PM
|
| Saad Naseeb | | Join Date: Feb 2009 Location: Multan/layyah
Posts: 16
Contact Number: 0334979166 Program / Discipline: BSTS Class Roll Number: 08-41 | |
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi
Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani anjaani raahon pay
Umron kay qaafilay
Ghardish-e-doraan main pinha manzilain
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say ukta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahanaa
Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e- khudai
But banayay banai azaanain
Phir sajaai rishton ki dukanain
Jab jab bhi khud say uktaiya insaan
Daur-e-wehshat main laut aayaa insaan
Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi
Bus girafat-e-khwaab- e-bahaana hai har koi
Ik bhatkan umr kay janglon main
Liyay bekasi-e-namaloom dilon main
Har koi jiyay jaataa hai
Dard-o-masarrat kay ajab sangam ko
Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai |