![]() |
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat Kuch jaani anjaani raahon pay Umron kay qaafilay Ghardish-e-doraan main pinha manzilain Kabhi manzil ka pa laina Phir us say ukta jaanaa Yeh shauq-e-manzil nahi Shayud jeenay ka bus bahanaa Jab bar gayi bahut tanhai Banaya phulsupha-e- khudai But banayay banai azaanain Phir sajaai rishton ki dukanain Jab jab bhi khud say uktaiya insaan Daur-e-wehshat main laut aayaa insaan Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi Bus girafat-e-khwaab- e-bahaana hai har koi Ik bhatkan umr kay janglon main Liyay bekasi-e-namaloom dilon main Har koi jiyay jaataa hai Dard-o-masarrat kay ajab sangam ko Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai |
| All times are GMT +5. The time now is 11:35 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.