Thread: subh.e.nu
View Single Post
Old 12-11-2011, 12:13 AM   #1
subh.e.nu
haseeb haseeb is offline 12-11-2011, 12:13 AM

"Aap ny kabhi ghour kia hy k is bhari dunya main jitni bhi qumyn,
jitni bhi naslyn or groh.e.insani abaad hain, un sab ka din tulu.e.
aftaab sy shoro hota hy, suraj nmudar hoa or din charh gaya or
kaha gaya k aaj yakum december ya january ki pehli tareekh hy,
sirf ek umma aisi hy pori kainta main jiska din shaam k waqat
shoro hota hy. jab shaam perti hy to uska NAYA DIN muriz.e.wjud
main aata hy or woh ummah ISLAM ka ummah hy.....

Yeh ajeeb deen hy k shaam sy ya raat sy mansub ker k is k din ka
or maheeny ka aghaz kia jata hy, dunya k kisi mazhab main aisa
nahi hy or kisi or ummat per aisa boojh nahi. Iski wajah jo main
smajhta hon woh yeh hy k iss ummat ko yeh baar.e.giran ata kia
gaya hy k 'Ba.wasf is k k tumhara naya din charh gaya hy or tum
nay maheeny main dakhil ho gay ho or is k baad pori tareek raat
ka samna hy lakin tum ek azeem Dignified umma ho, tum ek pur.
waqar ummat sy taluq rakhty ho, tum iss tareek raat sy ghabrana
hergiz hergiz nahi bal'k iss tareeki main sy guzar ker apny wajud
per aitmad ker k tumhain uss SUBH tak puhanchna hy jis sy sari
jagah roshni phely gi, goya iss tareeki k ander hi apko apni zaat
, apny wajud or shakhsiyat sy roshni kerni hy.. Hum , Tum ,Aap
sab k sab apna maheena, apna dil maghrib k baad sy shoro
kerty hain or humain ba.haisiyat musalman yaqin hota hy, Yeh
tareeki humain kis qisam ki gazand ya takleef nahi puhancha
sakti"


Regards

 
haseeb's Avatar
haseeb
Sagar

Join Date: Apr 2010
Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 05-ME-45
Views: 1669
Reply With Quote