subh.e.nu "Aap ny kabhi ghour kia hy k is bhari dunya main jitni bhi qumyn, jitni bhi naslyn or groh.e.insani abaad hain, un sab ka din tulu.e. aftaab sy shoro hota hy, suraj nmudar hoa or din charh gaya or kaha gaya k aaj yakum december ya january ki pehli tareekh hy, sirf ek umma aisi hy pori kainta main jiska din shaam k waqat shoro hota hy. jab shaam perti hy to uska NAYA DIN muriz.e.wjud main aata hy or woh ummah ISLAM ka ummah hy..... Yeh ajeeb deen hy k shaam sy ya raat sy mansub ker k is k din ka or maheeny ka aghaz kia jata hy, dunya k kisi mazhab main aisa nahi hy or kisi or ummat per aisa boojh nahi. Iski wajah jo main smajhta hon woh yeh hy k iss ummat ko yeh baar.e.giran ata kia gaya hy k 'Ba.wasf is k k tumhara naya din charh gaya hy or tum nay maheeny main dakhil ho gay ho or is k baad pori tareek raat ka samna hy lakin tum ek azeem Dignified umma ho, tum ek pur. waqar ummat sy taluq rakhty ho, tum iss tareek raat sy ghabrana hergiz hergiz nahi bal'k iss tareeki main sy guzar ker apny wajud per aitmad ker k tumhain uss SUBH tak puhanchna hy jis sy sari jagah roshni phely gi, goya iss tareeki k ander hi apko apni zaat , apny wajud or shakhsiyat sy roshni kerni hy.. Hum , Tum ,Aap sab k sab apna maheena, apna dil maghrib k baad sy shoro kerty hain or humain ba.haisiyat musalman yaqin hota hy, Yeh tareeki humain kis qisam ki gazand ya takleef nahi puhancha sakti" Regards |
All times are GMT +5. The time now is 07:07 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.