View Single Post
Old 09-11-2009, 04:33 PM   #7
.BZU.
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post

Ajkal kya yeh tu hundreds of years balkeh islam k anay sy bhi pehlay sy silsila chala aa raha ha k jado ghar muslim ho yan kafir shirk kerta ha Allah k sath yeh keh k mein kuch kerny ka ikhteyar rakhta hn
issi terhan booton k pojnay waly or taweiz sy madad leny waly bhi jabkeh yeh sb cheezain insan kya ek makhi ko bhi nafa yan nuksan nahi pohcha saktein magar allah he ha jo kisi k nuqsan yan faiday ka hukam dy dye



Hmmm...Aik tu yeh molana sahab yeh keh rahay hain
Surah baqra ki ayat 102 main yeh keh rahay hay kay frishtoon nay kufar nahi kia. sheetano nay kufar kia jo kay logon ko jado sikhatay thay..

Then agay ye kiyon kaha ja raha he kay Frishtay logon ko jado sikhaya kartay thay. means frishton nay jado sikhanay ka kufuar kia.?
Halankay Pori islamic history chaan li ja ay tu . Yeh baat saaf saaf zahir ho jati hay kay frishtay nabiyon kay pass Allah ka peghame haq lay kar aatay hain . na kay Mushrakeen kay pass aa kar. Un ko Nabiyon kay khilaf kartay hain...

Nabi SAW par jadoo ka asar man lena.. means . Aap SAW jado zada ho gay thay. jaisa kay Maka kay mushrkeen kehtay thay...
Jab.
Khulfa Rashedeen nay Jadogaron ko zinda dafan karnay ka hukam diya (Because kay wo logon ka eman kharab kartay thay)
tu tab wahan un jadogaron ka jado kahan giya tha..
tab bhi jadogar apnay jado kay asar say apnay aap ko bacha saktay thay na.

ya phir yeh man na paray ga kay jadogaron kay jado ka koi asar nahi hota hay. Balkay Allah tala jo marzi karay wohi hota hay...Allah tala ko apnay kaam karnay main kisi jadogar kay jantar mantar parhwanay ki zarorat nahi hoti hay. jo bhi hot ahay Allah apni traf say hei karta hay. Jadogar ki majal nahi kay wo Allah ko apna kaam karnay par majboor karday.. Jaisa kay is ayat main aap baar baar quote kar rahay hain.



sirf jado main asar sabit karnay kay li ay...

Jadogar kia. Muhammad kareem SAW bhi apnay nafa nuksaan ka kuch ekhtiyar nahi rakhtay thay. jaisa kay surah Jin 19 to 23 main... tu jadogar (aik kafir insan) kaisay kisi kay oper jado kar kay nuksan pohuncha sakta hay?aur wo bhi Muhammad Kareem SAW ko takleef... Jin kay li ay Allah nay yeh kaha hay kay.
see here:


Even kay... Surah baqrah ki ayat 102 main saaf saaf likha hay kay saleman A.S kay zamnay main sheetan loog jo kay jadoo kay kalemaat sikha kartay thay. un kay wo kalemaat un ko koi nafa nahi dete thay..wahan jo kuch bhi hota tha jadoo kay kalemat say nahi balkay Allah kay hukum say hota tha. tu phir yeh kaisay mana ja sakta hay kay nabi SAW par naozbillah Jado ka asar ho giya tha aur aap jado say bimar ho gay thay ?

piyary nabi SAW par koi jado ka asar nahi huya. balkay yeh kay. Jo bhi takleef App SAW par aa e wo tu Allah tala ki traf say hei thei. kisi jadogar kay jantar mantar ki traf say nahi...
  Reply With Quote