Ye chubhan akaily pan ki
Ye lagan udaas shabb sy,
Ma hawa sy larr raha hoon
Tujay kya btaoon kab sy,
Ye sehar ki sazishen theen,
K ye intiqaam-e-shabb tha,
Mujay zindagi ka sooraj
Na bacha saka ghazab sy,
Teray naam sy shafaa ho
Koi zakhm wo ataa kar,
Meray naama-bar Miley to
Usay kehna ye adabb sy,
Wo jawan ruton ki shaamein,
Kahan kho gai hein Sagar,
Ma to bujh k reh gaya hoon
Wo bicharr gaya ha jab sy...