BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Quotes (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=306)
-   -   love letter (http://bzupages.com/showthread.php?t=7516)

Muzammil 31-12-2009 11:18 AM

love letter
 
Munda..........

aisa khat likh sajni meri umer beet jaye


perday perday


kurri.........


<>?"|}+_)(*&^%$#@!#$%^&*()*&^


%$#@$%^&^%$


%^&$@#@#%^&*((*&^%%$#%&

*(((())))*&^%$$##

#$^@#$*&(&^%!#:P{)%^$#&&@$*^%$#http://www.hallagulla.com/urdu/image...ies/set0/p.gif<"{}+|{}+_

*&^%&*()*&^%$#@#$%^&*(
*&^





#$%^&*()(*&^%$#@#$%^&*()__)


(*&^%$$##@@@#


hun parhda reh

usman_latif_ch 01-01-2010 10:09 AM

Re: love letter
 
waow...ems ko bhi punjabi anay lagi ha

.BZU. 01-01-2010 01:17 PM

Re: love letter
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 16089)
waow...ems ko bhi punjabi anay lagi ha

logon ko sab kuch ata hota hay, but jaan kar kisi ko tang karnay kay liye kaha jata hay, kay mujhay samjh nahi aati punjabi... punjabi tu raheel aur momna ko bhi samjh aa jati hay, as once they were saying Mitti pao.. (punjabi phrase) aur emsplanet ka yahan proof mil giya hay...

Muzammil 01-01-2010 01:33 PM

Re: love letter
 
Quote:

Originally Posted by usman_latif_ch (Post 16089)
waow...ems ko bhi punjabi anay lagi ha

Poori post me total 3 words hain punjabi..

munda , kuri.. ab agar aap normal insaan ho and TV ya movies dekhte ho then itni to samajh aati hogi ki 'kuri' aur 'munda' kise kehte hain.. kuch words to sab ko aa jate hain movies and TV dekhker south indians ko bhi aajate hain jinhe hindi tak theek se nahi aati.. mujhe to kuch south indian words bhi aate hain ek larki ne sikhaye the then whats mean ki mujhe woh language aati hai?.. and 'hun parda reh' bhi usi tarah hai sirf 'parhta' ho ko 'parda' likha hai to jara dimaag lagane se samajh aajati hai.. and i am still saying ki mujhe punjabi nahi aati.. baqi marzi hai mano ya na mano.. :smiley_peace:

momna gull 01-01-2010 05:20 PM

Re: love letter
 
yes i agree with ems
itne songs punjabi k bantay hai punjabi base films bunti hain k log ye aam tor per istamaal honay walay alfaz to seekh hi letay hain
Mitti Pao main pehla lafz yani "mitti" to urdu main bhi istamaal hota hi or jahan tk meri knowledge hai ye urdu ka hi lafz hai kion k sub hi jantay hain k urdu bohat si zabano ka mixture hai

.BZU. 01-01-2010 08:47 PM

Re: love letter
 
Quote:

Originally Posted by momna gull (Post 16106)
yes i agree with ems
itne songs punjabi k bantay hai punjabi base films bunti hain k log ye aam tor per istamaal honay walay alfaz to seekh hi letay hain
Mitti Pao main pehla lafz yani "mitti" to urdu main bhi istamaal hota hi or jahan tk meri knowledge hai ye urdu ka hi lafz hai kion k sub hi jantay hain k urdu bohat si zabano ka mixture hai

Quote:

Originally Posted by emsplanet (Post 16099)
Poori post me total 3 words hain punjabi..

munda , kuri.. ab agar aap normal insaan ho and TV ya movies dekhte ho then itni to samajh aati hogi ki 'kuri' aur 'munda' kise kehte hain.. kuch words to sab ko aa jate hain movies and TV dekhker south indians ko bhi aajate hain jinhe hindi tak theek se nahi aati.. mujhe to kuch south indian words bhi aate hain ek larki ne sikhaye the then whats mean ki mujhe woh language aati hai?.. and 'hun parda reh' bhi usi tarah hai sirf 'parhta' ho ko 'parda' likha hai to jara dimaag lagane se samajh aajati hai.. and i am still saying ki mujhe punjabi nahi aati.. baqi marzi hai mano ya na mano.. :smiley_peace:


http://bzupages.com/showthread.php?p=16105#post16105
Meray is thread main bhi sirf 3 words punjabi kay words thay.
Daatri...
Wadda sara Naang
Dhaar wo Amma

baqi tu sab english/urdu/hindi words thay tu tab aap dono ko samjh nahi aaya tha pora joke ...:air:

Tu main nay consider kar lia tha kay aap dono ko Punjabi ka meaning nahi atay hongay,,., Because us din aap dono ko aik aik word ka meaning batana para tha... jo kay usman nay bataya tha... aur aaj aap dono nay punjabi maaaari hay isliye usman aur main nay comment kia hay kay aap dono us din aisay hei baatain bana rahay thay, :008:

momna gull 02-01-2010 12:08 AM

Re: love letter
 
janey do yaar punjabi nahi aati to its not a big deal
muje to sindhi bhi nahi aati jb k main sindh main rehti hun
baat sirf itni hai jo lafz hamaray liye familiar nahi hotay unko samajna bhi thoda mushkil hota hai
phir chahay wo jis bhi language main hon

Raheel 02-01-2010 11:44 AM

Re: love letter
 
Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 16094)
logon ko sab kuch ata hota hay, but jaan kar kisi ko tang karnay kay liye kaha jata hay, kay mujhay samjh nahi aati punjabi... punjabi tu raheel aur momna ko bhi samjh aa jati hay, as once they were saying Mitti pao.. (punjabi phrase) aur emsplanet ka yahan proof mil giya hay...

Mitti Pao to ek common phrase hay or is main Mitti urdu main bhi kaha jata hay is liye is phrase ko samajhna mushkil nahi, is say yeh proof dena kay inhain punjabi ati hay sahi nahi hay...

---------- Post added at 11:44 AM ---------- Previous post was at 11:36 AM ----------

Quote:

Originally Posted by .BZU. (Post 16116)
http://bzupages.com/showthread.php?p=16105#post16105
Meray is thread main bhi sirf 3 words punjabi kay words thay.
Daatri...
Wadda sara Naang
Dhaar wo Amma
baqi tu sab english/urdu/hindi words thay tu tab aap dono ko samjh nahi aaya tha pora joke ...:air:
Tu main nay consider kar lia tha kay aap dono ko Punjabi ka meaning nahi atay hongay,,., Because us din aap dono ko aik aik word ka meaning batana para tha... jo kay usman nay bataya tha... aur aaj aap dono nay punjabi maaaari hay isliye usman aur main nay comment kia hay kay aap dono us din aisay hei baatain bana rahay thay, :008:

In 3 words ki samajh na honay ki waja say yeh joke samajh main nahi aa raha tha isi liye poocha tha kay is ka translate ker do baqi to samajh main aa raha tha its common..


All times are GMT +5. The time now is 11:34 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.