Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin, hamari choti si naiki sanmbhal rakhta hai, Hum usay bhol jatay hain roshni main, wo tariqi main b khayal rakhta hai, Jo kabi dair sai lotun to meri maa ki tarhan, wo mere rizk ka hisa nikal rakhta hai, gharon main jin k diya b nahi hai un k lye, fiza main chand sitaray uchaal rakhta hai, Mohabat apne bandon sai kamal rakhta hai. Woh aik ALLAH he hai jo tera or mera khayal lazawal rakhta hai. |
All times are GMT +5. The time now is 01:02 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.