![]() |
Hamara kya hai Hamara kya hai keh ham to charagh e shab ki tarah Agar jalay bhi to bas itni roshni ho gee Keh jesay tund andhairon ki raah main jugnoo Zara si dair ko chamkay, chamak kay kho gaye Phir us kay baad kisi ko na kuch sujhai day Na shab katay na suragh-e-sahar dikhai day Hamara kya hai keh ham to pus-e-ghubar-e-safar Agar chalay bhi to bas itni raah taey ho gee Keh taiz hawaaon kay zard maa’il naqsh-e-qadam Zara si dair ko ubhray ubhar kay mit jaey Phir us kay baad na rasta na rahguzar milay Had-e-nigah talak dasht-e-bay kinar milay Hamari samt na daikho keh koi dair main ham Qabeela-e-dil-o-jaan say juda honay walay hain Basay basa’aye huay sheher apni aankhon kay Misal-e-khana-e-weeran ujarnay walay hain Hawa ka shor yehi hai to dekhtay rehna Hamari umar kay khaimay ukharnay walay hain |
| All times are GMT +5. The time now is 10:15 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.