Hosla nahi hota!!! HOSLA NAHI HOTA...... Eik waada hai ksi ka jo wafa hota nahi Warna in taron bhari raton main kya hota nahi Ji aata hai ulat den un k chehre se naqab Hosla karte hain lekin hosla hota nahi Shama jis ki aabro par jan de de jhoom kar Wo patenga jal to jata hai fana hota nahi Ab to muddat se rah o rasm e nazara band hai Ab to un ka toor par bhi samna hota nahi Bar ha dekha hai saghir rahguzar e ishq main Karwan k sath aksar rahnuma hota nahi |
All times are GMT +5. The time now is 01:15 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.