BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Yeh Dunya (http://bzupages.com/showthread.php?t=1849)

Qurrat-ul-ain 15-01-2009 01:30 AM

Yeh Dunya
 
Nisf saddi honay ko aai

Mera Ghar aur meri Basti

Zulm ki aag main jal jal ker Raakh main Dhaltay hain

Mere Log, mere Bachay

Khwabon aur Surabon kau eik Jaal main uljhay

Kattay, Martay jatay hain

Chaaron janib Lahoo ki Daldal hai!!

Galli galli Taweez kay pehray, Koocha koocha Maqtal hai

Aur yeh Dunya............??

Aalamgeer Aakoowat ki taqdees ki pehraydar yeh Dunya!!

Hum ko Jaltay , Kattay, Mertay

Dekhti aur chupp rehti hai

Zor-awar kay Zulm ka saya pal pal lamba hota hai

Wadi ki her Shamm ka chehra Khoon main lithra hota hai

Laikin yeh jo Khoon-e-Shaheedan ki shmmein hain

Jab tak inn ki lawein salamat

Jab tak inn ki Aag farozaan

Dard ki aakhri had pay bhi yeh dil ko sahara hota hai

Her ek Kaali rat kay peechay Eik Sawera hota hai......




All times are GMT +5. The time now is 03:46 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.