BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/index.php)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/forumdisplay.php?f=109)
-   -   Ager'chey mein aik chitaan sa aadmi raha hoon (http://bzupages.com/showthread.php?t=10389)

usman_latif_ch 18-06-2010 10:16 AM

Ager'chey mein aik chitaan sa aadmi raha hoon
 
Ager'chey mein aik chitaan sa aadmi raha hoon

Mager terey baad hosla hai k jee raha hoon

Wo reza reza merey badan mei uter raha hai

Mein qatra qatra usi ki aankhon ko pee raha hoon

Teri hatheli per kis ney likha hai qatel mera

Mujhey to lagta hai mein tera dost bhi raha hoon

Khuli hai aankhein mager badan hai tamam pather

Koi bataey mein mer chuka hoon k jee raha hoon

Kahan miley gi misal meri sitam-geeri ki?

K mei ghulabon k zakham kaanton sey c raha hoon

Na poocho mujh sey k shaher walon ka haal kia tha

K mein to khud apney gher mein bhi do gheri raha hoon

Mila to beetey dino ka sach us ki aankh mein tha

Wo aashna jis sey mudaton ajnabi raha hoon

Bhula dey mujh ko k bey-wafai baja hai lakin

Ganwa na mujh ko k mein teri zindagi raha hoon

Wo ajnabi ban k ab miley bhi to kia hai Mohsin

Ye naaz kam hai k mein bhi us ka kabhi raha hoon


All times are GMT +5. The time now is 11:05 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.