BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 1 votes, 5.00 average. Display Modes
Old 22-09-2011, 07:47 PM   #1
thecool
Thumbs up Knowledge of invisibility; GHAEB KA ILM

““ÈöÓã Çﷲ ÇáÑÍãٰä ÇáÑÍیã““

GHAEB KA ILM
ALLAH ne ye dunya banai or is dunya ki har aik cheez banai. ALLAH janta hay k usne kab kis ko rizk dena hay, dya tha. ALLAH janta hay k kon kya kerta hay. ALLAH janta hay k usne dunya kab banai thi or kab kayamat aygi. ALLAH ne jab kisi ko koi baat batani hoti tu ALLAH wahi bhegtey ya khwaab mein hukam detay ya phir khud direct baat kertay. bohat se logo ka ye akeeda hay k ghaeb ka ilm yani ilm-e-ghaeb Muhammed(. ko bhi tha. ham Quran-o-ahadess ki rosnhi mein iska jawaab dekhengay

ALLAH fermata hay k
“ye ghaeb ki khabren hen jo ham tum per wahi kertay hain or tum na thay in k pass jab wo apney kalm dalne lagay k kon maryam ki perwarish karega or tum na thay in k pass jab wo jhagarney lagay”
(sura al-imran, ayt 44)
ALLAH pak ne is ayt mein bilkul saaf beyan kya hay k ye ghaeb ki khabren hen jo ham tum per wahi kertay hen. agay ALLAH 2 dafa khetay hay k tum nahi thay yani k jab Muhammed() un k dermyan nahi thay tu wo baat un ko maloom nahi thi or is ayt k baad pata chali. is ayt ne bataya k ilm-e- ghaeb Muhammed() ko nahi tha or is ayt ne Muhammed() ki hameshgi ki b nafi kerdi.
ALLAH quran mae Muhammed() se khetay hain k
“or tumko ilm nahi dya gaya mager yehi thora sa”
(sura bani israeel, ayt 85)

maloom huwa k ALLAH ne Muhammed() ko thora sa ilm dya yani jo ilm dya wo wahi k zarye dya. ilm-e-ghaeb k baray mein ALLAH pak Quran mein fermatay hain k
“ye baatein ghaeb ki khabro mae se hen jo ham tumhari taraf wahi kertey hain jinhen is se phelay tum nahi jantey thay or na hi tumhari kom”
(sura hood, ayt 49)
“ham beyan kertay hain tumse behtareen kisa is Quran k zarye jo hamne tum per wahi kya or is se phelay tum bekhabro mae se thay“
(sura yousuf, ayt 3)
“inki taweel siwaye ALLAH k koi nahi janta“
(sura al-imraan, ayt 7)
in ayaat ne bikul saaf bataya k Muhammed() bekhabron mae se thay. agay ALLAH khud inkaar kartay hain k
“or baaz munafik badu or sheher walay jo tumhare gird hen nafaaq mae pare hue hain jin ko tum nahi jantey ham jantey hain”
(sura al-tuuba, ayt 101)
MAZEED AYAAT= (aura al-anfaal, ayt 60) (sura al-kassas, ayt 44 se 46, 86) (sura suwaad, ayt 69) (sura al-hakaaf, ayt 9) ( sura ashora, ayt 52) (sura al-jin, ayt 25)

ALLAH ne har ayt mae taraah tarah se nafi ki hay.aik dafa log Muhammed() se kayamat ka poch rahe thay tu ALLAH ne ayt nazil fermai jis mae ALLAH ne khud nafi ki
“log apse kayamat ka pochtey hein. ap khe dejye k iska ilm tu ALLAH hi k pass hay or apko kya maloom wo kayamat shayed kareeb ho”
(sura al-ahzaab, ayt 63)
(sura al-aeraaf, ayt 187)
(sura luqmaan, ayt 34)
(sura haa-meem sajda, ayt47)
(sura al-nuzaat, ayt 42)
Quraan ne aik baar phir is ayt se bilkul saaf saaf inkaar ker dya. ager ab bhi koi hay jo Quran ki baat na maney tu wo kafir hoga q k wo Quran ko jhutlayega. Ap() ko ghaeb ka ilm nahi tha jo ilm deya gaya wo wahi k zarye deya gaya or jo ilm ALLAH ne Ap() ko deya wo ghaeb nahi rehta.
  Reply With Quote
Reply

Tags
ghaeb, ilm, invisibility, knowledge


 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 05:56 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.