Jab say Baygham nay mujhe Murgah bnna rakha hai...
Main n nazron ki tarah sir bhi jhukka rakha hai
Bartanon aaj mere Sir pay barastay Q ho??
Main na dho dha k tumhen kitna sajja rakha hai
Roz laiti hai talashi wo Police ki manind
Poochti hai k kahan Paison ko chuppa rakha hai......
Wohi Dunya main Muqqadar ka Sikandar tehra
Jis nay khud ko yahan Shaadi say bacha rakha hai
Pii ja iss maar ki talkhi ko bhi hans k Shohar
Maar kahnay mani bhi Qudrat nay mazza rakha hai