Na gila kiya na khafa huwa
yunhi raste me juda huwa
na wo bewafa na me bewafa
jo guzar gaya so guzar gaya
wo ghazal ki ek kitab tha
wo gulon me ek gulab tha
zara dair ka koi khawab tha
jo guzar gaya so guzar gaya
wo udaas dhoop samait kr kahin wadiyon me utar gaya
usay ab na day merey dil sada
jo guzar gaya so guzar gaya
ye safar bhi kitna taweel he
yahan waqt kitna qaleel he
kahan loat kar koi aaye ga...!
jo guzar gaya so guzar gaya.