Qissa abhi hijab se agy nahi barha
Main aap,woh janab se agy nahin barha,
Mudat hui kitab-e-muhabat shuru kiye
Lekin main pehly bab se agy nahi barha,
Lambi musaften hain mgr is swar ka
Paon abi rakab se agy nahi barha,
Logon ne sung-o-khisht k Qil'lay bana liye
Apna Mehal to khab se agy nahi barha
Tool-e-kalaam k liye maine kiye swal
Wo mukhtasar jawab se agy nahi barha
Wo teri chaal dhaal k bare mein kia kahe
Jo apny ehtisab se agy nahi barha.