View Single Post
  #1  
Old 31-10-2011, 09:29 PM
haseeb's Avatar
haseeb haseeb is offline
Sagar

 
Join Date: Apr 2010
Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 05-ME-45
haseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant future
Send a message via Yahoo to haseeb
Poetry aaiiye haath uThaayen ham bhi ham jinhen rasm-e-dua yaad nahin

aaiiye haath uThaayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yaad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat ke siwaa
koii butt koii Khudaa yaad nahin

aaiiye arz guzaren ki nigaar-e-hastii
zahar-e-imaroz main Sheerin-e-Farda bhar de
wo jinhen tabe garaaN baarii-e-ayyaam nahin
unakii palakon pe shab-o-roz ko halkaa kar de

jinaki aaNkhon ko ruKh-e-subh ka yaraa bhi nahin
unakii raaton mein koii shamaa munawwar kar de
jinke qadamon ko kisii rah kaa sahaaraa bhii nahin
unaki nazaron pe koii raah ujaagar kar de

jinka deen pairavi-e-kazbo-riyaa hai unko
himmat-e-kufar mile, jurat-e-tahaqiq mile
jinke sar muntazir-e-teG-e-jafaa hain unko
dast-e-qatil ko jhaTak dene ki taufiiq mile

ishq kaa sarr-e-nihaaN jaan-tapaaN hai jis se
aaj iqaraar karen aur tapish miT jaaye
harf-e-haq dil mein Kahan Takataa hai.
Teen kii tarah aaj izahaar kare.n or Khalish miT jaaye


Regards
Reply With Quote