View Single Post
  #1  
Old 26-10-2011, 08:19 PM
haseeb's Avatar
haseeb haseeb is offline
Sagar

 
Join Date: Apr 2010
Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676
Program / Discipline: Engineering
Class Roll Number: 05-ME-45
haseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant futurehaseeb has a brilliant future
Send a message via Yahoo to haseeb
Poetry Na-deedah Rafaqat

Kuch bhi to nahi wesa
Jesa tujhy socha tha
Jitna tujhy chaha tha
Socha tha tery lab per
Kuch hurf dua'on k
Kuch phool wafaon k
Mehkyn gay meri khatir
Kuch bhi to nahi wesa.....
Jesa tujhy socha tha......
Jitna tujhy chaha tha....
Mehsoos yeh hota hy
Dukh jheely thy jo aab tak
By-naam musafat main
Likhny ki muhabbat main
Perhny ki zaroorat main
By-sood riyazat thi
By-faiz ibadat thi
Jo khuab bhi dekhy thy
In jaagti aankhon ny
Sab khaam-khayali thi
Phir bhi tujhy pany ki
Dil k kisi gooshy main
Khuahish to bacha li thi
Lakin tujhy paa ker bhi
Or khud ko gunwa ker bhi
Iss habs k musam ki khirki sy hawa aai
Na phool sy khushboo ki koi bhi sadaa aai
Ab neend hy aankhon main
Na dil main woh pehli si taza sukhan-aaraii
Na lafz mery nikly
Na hurf-o-maani ki danish mery kaam aai
NA-DEEDAH RAFAQAT main
Jitni bhi aziyat thi
Sab mery hi naam aai
Kuch bhi to nahi wesa....
Jesa tujhy socha tha....
Jitna tujhy chaha tha....


By: Noshi Gilani

Reply With Quote